kmiainfo: Husain Raziallahu Anhu Ki Shahadat Husain Raziallahu Anhu Ki Shahadat

Husain Raziallahu Anhu Ki Shahadat

Husain Raziallahu Anhu Ki Shahadat
 
 
*1-NABI Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya-"Mere pass Ghar Me Ek Farishta Aaya hai Jo isse Pahle kabhi Mere Pass Nahi Aaya tha Usne Batlaya hai ki Aap ke ye Beta Husain Katl Hoga, Agar Aap Chahe to Us Sar Zameen Ki Mitti Dikhaye Jaha Ye Katl Hoga, Fir Isne Surkh Mitti Dikhai*
(MUSNAD AHMAD HADEES NUMBER 12421)
 
 
*2-Abdullah Bin Abbas Kehte hai Maine Dopehar  ke Waqt Khawab Me Nabi Sallallaho Alaihi Wassallam ko dekha ki Aap Khade the Aur Aap Ke Sar ke baal Bikhre hue  aur Gubar Alood(Dhul lagi) hai Aur Aap ke Hath me Ek Sheeshi hai Jisme khoon tha Maine Kaha Ae Allah ke Rasool Ye Kya hai?*
 
*Aap Ne Farmaya-"Ye Husain Aur Uske Sathiyo ka Khoon Hai jise Mai Aaj Jama Kar Raha Ho,Hamne is din Ka Hisab Nikala To Wo wahi Din Tha jis Din Husain Shaheed hue the"*
(MUSNAD AHMAD HADEES NUMBER 12423)
 
 
*3-Muawiya Bin Sufiyan Razi. Ne Mikdam se kaha Kya Aap ko khabar hai ki Hasan ka Intekaal ko gaya*
 *Mikdam ne ye sun kar 'INNA LILLAHI WA INNA ELEHI RAJIOON' Padha to Inse Ek Sakhs ne Kaha -Kya Aaj Ise koi Musibat Samjhte hai?*
 
*To Mikdam Ne Kaha Mai Ise Musibat kyu Na Samjho ki Rasoolullah Ne Hasan Ko Apni Godh me Bithaya Aur Farmaya-Ye Hasan Mere Mushabah hai Aur Husain Ali Ke,*
 
*Ye Sunkar Asdi Ne Kaha-Hasan Ek Angara Tha Jise Allah Ne Bujha Diya(Nuzubillah)*
(SUNAN ABU DAUD HADEES NUMBER 4131, SUNAN NISAI HADEES NUMBER 4259)
 
 
*4-Abu Naim Kehte hai Mai Ibne Umar Razi. Ki khidmat me Maujood tha inse Ek Sakhs Ne Halate Ahraam Me Machhar ke Marne ke Mutalliq Pucha Ki Iska Kya Kaffara hoga?*
 
*Ibne Umar Razi. Ne farmaya-Tum kaha ke ho? Usne kaha Iraq(Sham) ka*
 
*Ibne Umar Razi. Ne farmaya-ki Sakhs ko dekho Machhar ki jaan lene ka Masla Puchta hai,Halaki iske Mulk walo  ne Rasool ke Nawase ko Be-takalluf katl kar dala,Maine Nabi Se Suna Aap Farma rahe the ki "ye Dono(Hasan Aur Husain)duniya me Mere Do Fool hai"*
(SAHIH BUKHARI HADEES NUMBER 3753, 5994, MUSNAD AHMAD HADEES Number 12425)
 
-----------------------
 
*Ubaidullah bin Ziyaad Ka Hussain Razi. Ki Shahadat Me Hath Aur Us Mardood ka Hashr*
 
 
*5-Jab HUSAIN RAZI. Ka Sar Mubarak Ubaidullah bin Ziyaad(Yazeed Bin Muawiya ka Koofa ka Gawarner) Ke Pass Laya gya Aur Ek Tasth Me Rakh Diya Gya To Ubaidullah bin Ziyaad Bad-Bakht Ispar Lakdi Se marne Laga Aur Husain Razi ke Husn Aur khoobsurti ke bare me bhi kuch kaha-Maine Isse  Jyada Khobsurat Cheez nahi Dekha*
 
*Anas Razi. Ne Kaha-"Husain Razi Nabi ke Sabse Jyada Mushabah The"*
(SAHIH BUKHARI HADEES NUMBER 3748, MUSNAD AHMAD HADEES NUMBER 12422)
 
*Ek Hadees Isi Tarah Hai Isme Ye Alfaz Hai:-Ubaidullah bin Ziyaad Husain Razi. Ki Naak Me Apni Chhadi(🦯) maar Raha tha,Anas Razi. NE Kaha Ye Ahlebait Me Nabi Se Sab Se Jyada Mushabah(sakl me Milte)the"*
(SUNAN TRIMIZI HADEES NUMBER 3778)
 
 
*Umarah Bin Umair Kehte hai Jab Ubaidullah bin Ziyaad Aur Us ke Sathiyo ke Sar Laye gye Aur Kufa Ki Ek Masjid me Unhe Tarteeb Se Rakh Diya gya Aur Mai Waha Pahucha To Log Ye kah Rahe the Aaya Aaya To Kya Dekhta ho Ki Ek Saanp Saro ke Beech se Hokar Aaya Aur Ubaidullah bin Ziyaad ke Dono Naak me Dakhil ho gya Aur Thodi Dair Isme Is me Raha, Fir Nikla Kar achala gya Yaha Tak ki Gayab ho Gya Fir Log Kahne Lage Aaya Aaya, Is Tarah 2 ya 3 baar Hua"*
(SUNAN TRIMIZI HADEES NUMBER 3780)
 
 
*====================*

Post a Comment

Previous Post Next Post