HASAN AUR HUSAIN RAZIALLAHU ANHU WA ALEHISSALAM KE FAZAIL
*A-HASAN AUR HUSAIN JANNAT ME JAWANO KE SARDAR HAI*
*1- Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam ne Farmaya-“HASAN Aur HUSSAIN Ahle Jannat Ke NauJawano Ke Sardar Hai*
(SUNAN TRIMIZI HADEES NUMBER -3768)
*2- Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:-“Hasan aur Husain jannat ke naujawaano ke sardaar hain.”*
(Musnad Ahmed 3/3 Hadees 10999 An Abi Sayeed al-Khudri Razi Allahu Anhu Wa Sanadahu Sahih, an-Nasaayi Fil Kubraa: 8525 Wa Fi Khasaais Ali: 140)
*3- Sayyiduna Abdullah bin Mas’ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:-“Hasan aur Husain ahle jannat ke naujawaano ke sardaar hain aur inke abaa (Sayyiduna Ali Razi Allahu Anhu) in dono se behtar hain.”*
(al-Mustadrak Lil Haakim: 3/167 Hadees 4779 Wa Sanadahu Hasan, Wa Sahhahul Haakim Wa Wafaqahuz Zehbi)
*4- Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya-“Ek Farishta tha Jo Is Raat Se Pahle Zameen par kabhi nahi utra tha Usne Apne RAB Se mujhe Salam karne Aur Ye Basharat Dene ki Izazat mangi ki FATIMA RAZI. Jannati Aurato ki Sardar Hai Aur HASAN WA HUSAIN Ahle Jannat ke NauJawano ke Sardar hai*
(SUNAN TRIMIZI HADEES NUMBER 3781)
-------------
*B- Jisne HASAN AUR HUSAIN SE MUHABBAT KI USNE NABI SE MUHABBAT KI AUR USSE ALLAH BHI MUHABBAT KARTA HAI*
*5- HASAN Razi. Aap Sallallaho Alaihi Wasallam ke Kandhe Mubarak par The Aur Ye Farma rahe the-“Ae Allah Mujhe Isse Muhabbat Hai Tu bhi Isse Muhabbat rakh*
(SAHIH BUKHARI HADEES NUMBER-3749)
*6- Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya-“HUSAIN Mujhse hai Aur Mai HUSAIN Se ho, ALLAH Us Sakhs Se Sakhs Se Muhabbat karta hai,Jo HUSAIN Se Muhabbat karta hai HUSAIN Kabail Me se Ek Kabeela hai*
(SUNAN TRIMIZI HADEES NUMBER 3775, SUNAN IBNE MAJA HADEES NUMBER 144)
*7- Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya-“Ae Allah Hasan Ko Mehboob Rakh Aur Us Sakhs Ko Bhi Mehboob rakh, jo Isse Muhabbat Rakhe”*
(SAHIH BUKHARI HADEES NUMBER 2122)
*8- Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Usama Bin Zaid Razi.Aur HASAN RAZI. Ko Pakad lete Aur Farmate-“ Ae ALLAH Tu Inhe Apna Mehboob bana Ki Mai Inse Muhabbat Karta Ho*
(SAHIH BUKHARI HADEES NUMBER 3735)
*9- Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya-“Hasan Aur Hussain Dono Mere Beta hai, Ae Allah Mai In Dono Se Muhabbat karta ho, Tu Bhi inse Muhabbat kar Aur Usse Bhi Muhabbat kar Jo Inse Muhabbat kare”*
(SUNAN TRIMIZI HADEES NUMBER 3769)
*10- Ataa bin Yasaar (tabaayi) Rahimahullah bayaan kartey hain ke unhen ek aadmi (Sahabi) ne bataya: unhon ne dekha ke Nabi ﷺ Hasan aur Husain (Razi Allahu Anhuma) ko seeney se laga kar farmaaya tha:-“Aye Allah! Main in dono se muhabbat karta hon tu (bhi) in dono se muhabbat kar.”*
(Musnad Ahmed: 5/369 Hadees 23133 Wa Sanadahu Sahih)
-----------------------
*C- JISNE HASAN AUR HUSAIN SE BUGZ(NAFRAT,DUSHMANI) RAKHA, USNE NABI SE BUGZ RAKHA*
*11- Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam ne Farmaya-“Jis Ne HASAN Aur HUSSAIN Se Mohabbat Ki Usne Mujh se Mohabbat Ki Aur Jisne In Dono Se Dushmani Ki Usne Mujh se Dushmani ki*
(SUNAN IBNE MAJA HADEES NUMBER -143)
*12- Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:-“Jis shaksh ne in (Hasan aur Husain Razi Allahu Anhuma) se muhabbat ki yaqeenan us ne mujh se muhabbat ki aur jisne in dono se bughz kiya tou yaqeenan us ne mujh se bughz kiya.”*
(Musnad Ahmed: 2/440 Hadees 9673 Wa Fazaayil as-Sahabah Li Ahmed: 1376 Wa Sanadahu Hasan, Wa Sahhahul Haakim 3/166 Hadees 4777 Wa Wafaqahuz Zehbi)
------------
*D- Hasan Aur Hussain Dono Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Mushabah the(Dekhne me Nabi Ke Jaise Lagte the)*
*13- Anas Razi. Kehte hai-“HASAN se Jyada Aur Koi Sakhs Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Se Jyada Mushabah(Dekhne me Nabi Ke Sakl Ke jaisa) nahi tha*
(SAHIH BUKHARI HADEES NUMBER- 3752)
*14- Hussain Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam ke Mushabah the*
(SAHIH BUKHARI HADEES NUMBER 3748)
*15- Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya-“Hasan Mere Mushabah hai Aur Hussain Ali Ke”*
(Sunan Abu Daud Hadees Number 4131)
-------------
*E- HASAN AUR HUSSAIN DUNIYA ME 2 FOOL🌹HAI*
*16- Nabi Ne Farmaya-“Hasan Aur Hussain Duniya me Mere Do Fool(🌹)Hai”*
(SAHIH BUKHARI HADEES NUMBER 3753)
-----------
*F- HASAN RAZI. Ki Wajah Se Do Giroh me Sulah Hogi*
*17- Abu Bakr Razi. Bayan karte hai ki nabi ko Mimber par Ye farmate Suna hai Aur Hasan Razi.Aap ke Pahlu me the Aap Kabhi logo ki taraf Mutawajje hote Aur Kabhi HASAN RAZI. Ki Taraf Aur Farmate ki Mera Ye Beta Sardar Hai Aur Shayad Iske Jariye ALLAH Musalmano ke Do Azeem Giroh Me Sulah karayega*
(SAHIH BUKHARI HADEES NUMBER 2704)
-------------
*G- Hussain Razi. Aasman walo(Farishto) Ke Nazdeeq Mehboob hai*
*18- Amr bin al-‘Aas Razi Allahu Anhu Ka’bey ke saaye taley baithey huwe they ke Husain Razi Allahu Anhu ko aatey huwe dekha tou unhon ne farmaaya:-“Yeh shaksh aaj aasmaan waalon ke nazdeek zameen waalon mein sab se ziyadah mehboob hai.”*
(Tareekh e Damishq; 14/181 Wa Sanadahu Hasan)
*==================*
Tags:
ISLAAH-IMAAN