kmiainfo: Aashoora Se Mutalliq Zaeef aur Mauzoo Riwayaat Aashoora Se Mutalliq Zaeef aur Mauzoo Riwayaat

Aashoora Se Mutalliq Zaeef aur Mauzoo Riwayaat

Aashoora Se Mutalliq Zaeef aur Mauzoo Riwayaat

*(Jispar Amal Karna Sahi Manna Munasib nahi)*

*1-Ashoora(10 Muharram) Ke Sath 11 Muharram ka Roza Rakhna*

Kuch riwayaat mein Aahsoora ko aik din pehle ya aik din baad mein milaane ka zikr milta hai.Riwayat dekhen:

*Hazrat Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya-"Aashoora ka roza rakho aur us mein Yahudiyon ki mukhalifat karo. Aik din pehle aur aik din baad us ke saath roza rakho.*

*Is riwayat ko Sheikh Albani aur Allama Shawkaani Rahimahumallah waghera ne Zaeef qarar diya hai.*
Dekhen {Zaeef ul Jami’ (Albani): 3506, Nail ul Awtaar (Shawkaani): 4 / 330}

*Aik doosri hadees mein ki jagah او ka zikr hai:Is Hadees ko bhi Shaikh Albani Rahimahullah ne zaeef qarar diya hai.* {Sahih Ibn e Khuzaima (Albani): 2095}

Isi tarah aik aur riwayat is tarah ki milti hai. 
*Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam farmate hain:Agar main (agle saal) zinda raha to main Aashoora ke saath aik din pehle ya aik din baad mein roza rakhne ka hukm dunga.*

*Isey Shaikh Albani Rahimahullah ne Munkar kaha hai.*
(Silsila Az-Zaeefah: 4297)

Ashoora ke mutalliq yeh ikhtelaaf hai ki konsa roza rakhna afzal hai?
Is silsile mein sab se umdah qaul yeh hai ke 9 Muharram aur Yaum e Aashoora (yani 10 Muharram) dono ka roza rakhna afzal hai is liye ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne 10 Muharram ka roza rakha aur 9 Muharram ka roza rakhnay ki niyat ki.(Sahih Muslim Hadees Number-2666)

*Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah likhte hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne jo 9 Muharram ke rozay ka iradah kiya us ke mae’nay mein ihtemal (probability, verisimilitude) hai ke sirf 9 par hi munhasir nahi balki us ke saath 10 ka bhi izafah kiya jayega, ya to us ki ahtiyaat ke liye ya phir Yahood o Nasara ki mukhalifat ki wajah se aur yahi Raajih hai jo Sahih Muslim ki baaz riwayaat se bhi maloom hota hai.*
(Fatah ul Baari: 4/245)

Lekin akeley 10 Muharram ya akeley 9 Muharram ka roza rakhna bhi masnoon hai jaisa ki daleel se saabit hai. *Raha 9 aur 10 ya 10 aur 11 ya 9, 10 aur 11 to ulama ne in sooraton ko bhi jaayez kaha hai kiyunki is masle ki riwayaat mein zo’f halka hai. Meri nazar mein 9 aur 10 Muharram ka roza rakhna behtar aur afzal hai.*

----------------

*2-Doosri Hadees:*

*Be-shak Allah ne Aashoora ke din zameen o aasmaan ko paida kiya.*

Yeh riwayat Mauzoo (manghadat) hai.

---------------

*3-Teesri  Hadees:*

 *Jis ne Aashoora ke din surma lagaya to usay kabhi takleef nahi hogi.*

Yeh riwayat Mauzoo hai. Allama Albani Rahimahullah ne isko Mauzoo kaha hai.
{Silsila Az-Zaeefah (Albani): 624}

------------------

*4-Chauthi Hadees: Jis ne Aashoora ke din roza rakha Allah us ke liye saath (60) saal rozay aur qiyam ka ajr likhega.*

Yeh riwayat bhi Mauzoo hai.
{Mauzoo’aat (Ibn e Jawzi): 2/570)

-----------------

*5-Paanchween Hadees:*

*Jo shakhs Aashoora ke din apne ahl o Ayaal par farakhi (kushadgi) se kharch karega, Allah Taala saal bhar us ko farakhi ataa farmayega.*

Yeh riwayat Zaeef hai. Allama Albani Rahimahullah ne isko Zaeef kaha hai.
{Zaeef ul Jami’ (Albani): 5873}

-----------------

*6-Chhathi Hadees:*

 *Aashoora ke din ko Adam Alaihissalam ne tauba ki, aur Nooh Alaihissalam ko Allah ne Aashoora ke din najaat di, aur Ibrahim Alaihissalam ko Allah ne Aashoora ko aag se najaat di, aur Younus Alaihissalam ko Allah ne machli ke pait se Aashoora ke din nikala, aur Yaqoob o Yousuf Aashoora ko miley aur Taurat Aashoora ke din nazil hue.*

Is qism ki saari riwayaat zaeef aur mauzoo hain.

----------------

*7-Saatween Hadees:*

*Aik dehaati ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Arafah aur Aashoora ke rozay ke mutalliq sawaal kiya to Aap ne farmaya: Aashoora se aik saal pehle aur aik saal baad ke gunah aur Arafah se pichle aik saal ke gunah maaf hote hain.*

Yeh riwayat zaeef hai is ke Sanad aur Matan dono mein kharabi hai.

-----------------

*8-Aathween Hadees:*

*Yeh banawti namaz ka tareeqa hai jiska maf-hoom yeh hai ki jis ne Aashoora ke din Zohr aur Asr ke darmiyan 40 rakat parhi. Har rakat mein aik baar Surah Fatiha, 10 baar Ayat al Kursi, Qul-Huwallahu Ahad «قُلْ هُوَ اللهُ أَحَد» 11 baar, Mu’awwazatain 5 baar parhe. Aur jab salam phere to 70 baar isteghfaar kare.*

Yeh gadhi hue (Mauzoo) riwayat hai.

-------------

*9-Naween Hadees:*

 *Jis ne ahl e ba’it ke masakeen ko Aashoora ke din khilaya woh Siraat ke pul (bridge) par bijli ki raftaar se guzrega aur jis ne sadqa kiya woh mohtaaj nahi hoga aur jis ne Aashoora ko ghusl kiya usey mout ki bemaari ke alawah koi bemaari nahi hogi.*

Yeh riwayat Mauzoo (gadhi hue) hai.

---------------

*10-Dasween Hadees:*

*Jo koi Hussain Radhiallahu Anhu ki shahadat ke din yani Aashoora ke din royega woh qayamat ke din ulul azm peghambaron (Messengers of strong will) ke saath hoga.*

Yeh riwayat Mauzoo (gadhi hue) hai.

---------------

*11-Giyarween Hadees:*

*Aashoora ke din roza rakhne waale ko 10 hazaar firshton ka sawab diya jayega.*

Yeh riwayat Mauzoo (gadhi hue) hai.

In ke alawah bhi bahut si Zaeef aur Mauzoo riwayaat bayan ki jaati hain jin ke zikr ka yeh maqam nahi.

*===================*

Post a Comment

Previous Post Next Post