TAKBEEREIN, ALHUMDULILLAH aur SUBHAN ALLAH KASRAT SE KEHNA
*In das ayyaam mein masjidon, raastoon, gharon aur har jagah jahan Allah taala ka zikr karna jaaiz hai wahan unchi aawaz se Takbeerein aur la ilaaha illallah, aur Alhumdulillah kehna chahiye taake Allah taala ki ibadat ka izhaar aur Allah taala ki tazeem ka elaan ho. Mard toh oonchi aawaz se kahenge lekin aurtain past (halki) aawaz mein hi kahengi*
*Allah taala ka farmaan hai :{Apne faiday haasil karne ko aa jayein, aur in muqarrar dino mein un chaupaayon par Allah taala ka nam yaad karen jo paltu hain}*
(Surah Al-hajj: 28)
*Jumhoor ulma e kiraam ka kehna hai ke maloom dinon se murad zul-Hijjah ke das din hain kyun ke Ibn e abbas razi Allah anhuma se marwi hai ke ayyaam maloomat se murad das din hain.*
*Abdullah bin Umar razi Allah anhuma bayan karte hain ke Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya:"Allah taala ke yahaan in das dinon se azeem koi din nahi aur in das ayyaam mein kiye jane wale aamaal se zyada koi amal mehboob nahi, lehaza La ilaaha illallah, aur Subhan Allah , aur Takbeerein kasrat se padha karo".*
Isay imam Ahmed ne riwayat kiya hai aur is ki sanad ko Ahmed Shakir Rahimahullah ne sahih qarar diya hai.
Dekhen: Musnad Ahmed (7/224)
Aur Takbeer ke alfaaz yeh hain.
*الله أكبر ، الله أكبر لا إله إلا الله ، والله أكبر ولله الحمد*
*Allah bohat bada hai, Allah bohat bada hai, Allah taala ke ilawa koi mabood e barhaq nahi, aur Allah bohat bada hai, aur Allah taala hi ki taafreefat hain.*
(Iske alawa aur bhi Takbeeraat hain)
*Yahan ek baat kehna chahenge ke maujooda daur main takbeeren kehnay ki sunnat ko chhora jaa chuka hai aur khas kar in das dino ki ibtida mein toh sunne mein nahi aati kisi nadir shakhs se sunney mein hi aayengi, is liye zaroori hai ke takbeeron ko oonchi aawaz mein kaha jaye taake sunnat zindah ho sakey aur ghafil logon ko bhi is se yaad dihani ho.*
*Ibn e Umar aur Abu hurairah razi Allah taala anhuma ke baare mein saabit hai ke woh dono in das dinon mein baazaaron mein nikal kar oonchi aawaz ke sath Takbeerein kaha karte the aur log bhi un ki Takbeeron ki wajah se Takbeerein kaha karte the, is ka maqsad aur murad yeh hai ke logon ko Takbeerein kehna yaad aaye aur har ek apni jagah par akele hi Takbeerein kehna shuru kardey, is se yeh murad nahi ke sab log ikathay ho kar ek aawaz mein Takbeerein kahen kyun ke aisa karna mashroo nahi hai.*
*Aur jis sunnat ko chhoda ja chuka ho ya phir woh taqreeban chhodi ja rahi ho to us par amal karne me bohat hi azeem ajar o sawab paaya jata hai kyun ke Nabi e mukarram ﷺ ka farmaan is dalalat karta hai:*
*(Jis ne bhi meri murda sunnat ko zindah kiya usay us par amal karne wale ke barabar sawab diya jayega aur un dono ke ajr o sawab mein kuch kami nahi hogi) isay imam tirmizi Rahimaullah ne riwayat kya hai.*
Dekhen: sunan tirmizi (7/443)
Yeh hadees apne shawahid ke sath hasan darje tak pahunchti hai.
*9 zil hijja ki fazir ki farz namaz ke baad se 13 zil hijja ki Asar ki farz namaz tak takbeer kehna chahiye buland awaz se aurat dheere kahegi*
*Allah Taala ka farmaan hai:*
وَلِتُكْمِلُوا الْعِدَّةَ وَلِتُكَبِّرُوا اللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَاكُمْ وَلَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ
*◈Tarjumah:◈Woh chaahta hai ke tum ginti poori kar lo aur Allah Taala ki di hue hidayat par us ki badaiyan bayan karo aur us ka shukr karo.*
*(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 185)*
Takbeerat ke saabit shuda alfaaz:
*اللهُ أكبرُ اللهُ أكبرُ لا إلهَ إلا اللهُ واللهُ أكبرُ اللهُ أكبرُ وللهِ الحمدُ*
❗Is ki sanad ko Allama Albani Rahimahullah ne sahih kaha hai.
*(Irwa ul Ghaleel: 3/125)*
Tags:
ISLAAH-IMAAN