Namaz e Eidain aur Youm e Nahar ke din ke kuch masail
*1-Eid ka Roza Rakhna haram hai:✫*
Eid ke din roza rakhna mana hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، - رضى الله عنه - أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم نَهَى عَنْ صِيَامِ يَوْمَيْنِ يَوْمِ الأَضْحَى وَيَوْمِ الْفِطْرِ
*◈Tarjumah:◈ Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu farmate hain ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne do dinon (yani) Eid ul Fitr aur Eid ul Azha ke din roza rakhnay se mana farmaya hai.*
*(Sahih Muslim: 1138)*
*=================*
*2-✫Eid ke din Ghusl(nahana), Libaas aur Khusbhu ka istemaal karna ✫*
Eid ke din ghusl karna mustahab hai. Behtar hai Fajr ki namaz ke baad ghusl kare, agar kisi wajah se is se pehle ghusl kar liya to bhi koi harj nahi.
Isi tarah umdah or saaf suthra kapda pahenna chaahiye jaisa ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Eid ke din khoobsurat chadar odhne ka suboot milta hai aur khusbhu Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko bahut pasand thi is liye hamein bhi use pasand karna chaahiye.
*======================*
*3-Eidgaah paidal jaana:✫*
Paidal Eidgaah jaana chaahiye aur usi tarah wapas aana chahiye:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ يَخْرُجُ إِلَى الْعِيدِ مَاشِيًا وَيَرْجِعُ مَاشِيًا
*◈Tarjumah:◈ Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Eidgaah paidal jaate or paidal hi wapas tashreef laate.*
*(Ibn e Majah: 1295)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne isko *Sahih* kaha hai.
⚠ Zarooratmand aadmi sawari par sawaar ho sakta hai.
*====================*
*4-Eidgaah se Wapas lotte huwe raasta badal dena chaahiye:✫*
عَنْ جَابِرٍ، قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم إِذَا كَانَ يَوْمُ عِيدٍ خَالَفَ الطَّرِيقَ
*◈Tarjumah:◈Jabir Radhiallahu Anhu kehte hain ki Eid ke din Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ek raaste se jaate phir doosra raasta badal kar aate.*
*(Sahih Bukhari: 986)*
Raaste ke badalne ki hikmat se mutalliq bohot saare aqwaal mlite hain, sab se achcha jawab Shaikh Ibn e Uthaimeen ka hai ke is ki hikmat Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ittibaa’ aur pairwi hai.
*=================*
*5-Namaze Eid Eidgaah Me:✫*
Eid ki namaz khule maidaan mein ada ki jaaye albatta zaroorat ke tehat Masjid mein bhi ada ki jaa sakti hai jaisa ki barish ki wajah se Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Masjid mein Eid ki namaz padhi thi.
*=================*
*6-Eidgaah ke kareeb wo log na jaye jo Qurbani kar skte hai par karte nhi*
*Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya-"Jis shakhs ko (qurbani ki) wusat (Gunjaish) ho aur wo qurbani na kare,to wo hamari eidgah ke qariib na phatke"*
*[ Sunan Ibn Majah: 3123]*
*=================*
*7-Eid ki namaz Aurton par bhi jaroori:✫*
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton ko Eid ki namaz padhne ka hukm diya lehaza khawateen ko Eid ki namaz mein shareek hona chaahiye chaahe woh boodhi hon ya jawaan, shadi shuda hon ya ghair shadi shuda aur baligha hon ya na baligha yahan tak Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Haizah aurat ko bhi Eidgaah jaane ka hukm diya taaki woh musalmanon ki dua mein shareek ho sake:
عَنْ أُمِّ عَطِيَّةَ، قَالَتْ أَمَرَنَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم أَنْ نُخْرِجَهُنَّ فِي الْفِطْرِ وَالأَضْحَى الْعَوَاتِقَ وَالْحُيَّضَ وَذَوَاتِ الْخُدُورِ فَأَمَّا الْحُيَّضُ فَيَعْتَزِلْنَ الصَّلاَةَ وَيَشْهَدْنَ الْخَيْرَ وَدَعْوَةَ الْمُسْلِمِينَ. قُلْتُ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِحْدَانَا لاَ يَكُونُ لَهَا جِلْبَابٌ قَالَ: لِتُلْبِسْهَا أُخْتُهَا مِنْ جِلْبَابِهَا
*◈Tarjumah:◈Hazrat Umm e Atiyyah Radhiallahu Anha se riwayat hai wo kehti hain ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne hamein hukm farmaya ke aurton ko Eid ul Fitr aur Eid ul Azha mein Eidgaah le jaayen jawaan ladkiyon, haiz waali aurton aur parda nasheen khawateen ko bhi, haan haiz waali aurtein namaz se alag rahein lekin woh khair mein aur musalmanon ki dua mein shareek hon, main ne arz kiya Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Hum mein se kisi ek ke paas chadar na ho to? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Us ki behan us ko apni chaadar pehna de.*
*(Sahih Muslim: 890)*
*=================*
*8-Eid ki namaz se pahle ya baad me nafil namaz padhna sunnat ke khilaaf hai ye amal makrooh hai*
حَدَّثَنَا أَبُو الْوَلِيدِ ، قَالَ : حَدَّثَنَا شُعْبَةُ ، قَالَ : حَدَّثَنِي عَدِيُّ بْنُ ثَابِتٍ ، قَالَ : سَمِعْتُ سَعِيدَ بْنَ جُبَيْرٍ ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ، أَنّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ خَرَجَ يَوْمَ الْفِطْرِ فَصَلَّى رَكْعَتَيْنِ لَمْ يُصَلِّ قَبْلَهَا وَلَا بَعْدَهَا وَمَعَهُ بِلَالٌ
*Tarjuma-Ibne abbas razi. Kehte hai Nabi sallallahu alehi wasalam eidul fitar ke din nikle aur eidgaah me eid ki namaz padhi aap ne na isse pahle na koi nafil namaz padhi na baad me*
*Nabi sallallahu alehi wasalam eid se pahle ya baad ko namaz padhne ko makrooh jante the*
Bukhari:989, trimizi:537, ibne maja:1291
*================*
*9-Eid ki namaz me na azan hogi na iqamat hogi*
حَدَّثَنَا عُثْمَانُ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، وَهَنَّادٌ وَهَذَا لَفْظُهُ، قَالَا: حَدَّثَنَا أَبُو الْأَحْوَصِ، عَنْ سِمَاكٍ يَعْنِي ابْنَ حَرْبٍ، عَنْ جَابِرِ بْنِ سَمُرَةَ، قَالَ: صَلَّيْتُ مَعَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ غَيْرَ مَرَّةٍ وَلَا مَرَّتَيْنِ الْعِيدَيْنِ بِغَيْرِ أَذَانٍ وَلَا إِقَامَةٍ .
*Tarjuma-Jabir bin samura razi. kehte hai maine Nabi sallallahu alehi wasalam ke sath ek-do baar nhi kai baar eid ki namaz bagair azan aur iqamat ke padhi hai*
Abu daud:1149
*=================*
*10-Eid ki namaz ka tareeqa aur Har takbeer par rafeyadain(dono hath ko kandho tak uthana)✫*
*➤* Namaz e Eid sirf do rakat hai. Pehli rakat mein saat (7) Takbeerein aur doosri rakat mein paanch (5) Takbeerein padhe.
حَدَّثَنَا هِشَامُ بْنُ عَمَّارٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ سَعْدِ بْنِ عَمَّارِ بْنِ سَعْدٍ مُؤَذِّنِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، حَدَّثَنِي أَبِي، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: كَانَ يُكَبِّرُ فِي الْعِيدَيْنِ: فِي الْأُولَى سَبْعًا قَبْلَ الْقِرَاءَةِ، وَفِي الْآخِرَةِ خَمْسًا قَبْلَ الْقِرَاءَةِ .
*Tarjuma -Nabi sallallahu alehi wasalam eidain(eidul fitar aur eidul azha) ki pahli rakat me kiraat se pahle 7 aur doosri rakat me kiraat se pahle 5 takbeer kaha karte the*
Ibne maja:1277, trimizi:536, abu daud:1152
ثُمَّ إِذَا أَرَادَ أَنْ يَرْفَعَ صُلْبَهُ رَفَعَهُمَا حَتَّى تَكُونَ حَذْوَ مَنْكِبَيْهِ، ثُمَّ قَالَ: سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ، وَلَا يَرْفَعُ يَدَيْهِ فِي السُّجُودِ وَيَرْفَعُهُمَا فِي كُلِّ تَكْبِيرَةٍ يُكَبِّرُهَا قَبْلَ الرُّكُوعِ حَتَّى تَنْقَضِيَ صَلَاتُهُ .
*Tarjuma-Nabi sallallahu alehi wasalam ruku se pahle har takbeer(allahu akbar) ke waqt dono hath uthate the yani rafeyadain karte the*
Abu daud:722
*================*
*11-Khutba e Eid ka sunna wajib nhi✫*
Namaz ke baad imam mard o khawateen ko wa’z o naseehat kare. Khutba sahih qaul ki roshni mein sunnat hai, wajib nahi hai. Eid ki namaz ke baad Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tha:
مَنْ أَحَبَّ أَنْ يَنْصَرِفَ فَلْيَنْصَرِفْ، وَمَنْ أَحَبَّ أَنْ يُقِيمَ لِلْخُطْبَةِ فَلْيُقِمْ
*◈Tarjumah:◈ Jo lautna pasand kare woh laut jaaye aur jo khutba sunne ke liye rukna chaahe woh ruk jaaye.*
*(Nasai: 1571)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne is ko *Sahih* kaha hai.
*➤* Juma’ ki tarah is ka sunna wajib nahi lekin wa’z o naseehat ko sune baghair jaana bhi nahi chahiye.
*➤* Eid ka ek hi khutba Hadees se saabit hai.
*➤* Khutba ke bad ya Namaz e Eid ke baad ijtima’i dua ka suboot nahi milta lehaza is nai ijaad se bachna chaahiye.
*==================*
*12-✫Namaz e Eid jamat na milne par kya kre? ✫*
*➤* Agar kisi ko ek rakat mil jaaye to us ne Eid ki namaz paa li, jo aakhri rakat ke sajde ya tashahhud mein imam ke saath mile to woh Eid ki namaz ki tarah namaz ada kar le.
*➤* Agar kisi ki Eid ki namaz choot jaaye to Eid ki namaz ki tarah ada kar le, chand log hon to jamat qaayem kar le. Jinhon ne kaha Namaz e Eid ki qaza nahi sahih baat nahi hai. Qaza ka bhi aasaar se suboot milta hai. Neez jis asar se qaza ki soorat mein chaar rakat padhne ka zikr milta hai use Shaikh Albani Rahimahullah ne *“Irwa ul Ghaleel”* mein munqata qarar diya hai. Qaza karte huwe do rakat hi ada kare aur khutba e Eid chor de.
*=================*
*13-Eid ki Mubarakbadi me kya kahe?✫*
Eid ke din ek doosre ko in alfaaz mein mubarakbad di jaaye:
*تَقَبَّلَ اللهُ مِنَّا ومنكَ*
*(Allah Taala hum sab ki Eid aur deegar aamaal e saliha qubool farmaaye)*
كان أصحابُ النبيِّ صلَّى اللهُ عليه وسلَّم إذا الْتَقَوْا يومَ العيدِ يقولُ بعضُهم لبعضٍ : تَقَبَّلَ اللهُ مِنَّا ومنكَ
*◈Tarjumah:◈Jubair bin Nufair (Taba’ee) bayan karte hain ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba e Kiram Radhiallahu Anhum Eid ke din jab ek doosre se milte to ek doosre ko kehte:*
تَقَبَّلَ اللهُ مِنَّا ومنكَ
*(Allah Taala mujh se aur aap se qubool farmaye).*
❗Is ko Shaikh Albani Rahimahullah ne *Sahih* kaha hai.
*(Tamam ul Minnah: 354)*
❗Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah ne ise *Hasan* kaha hai.
*(Fatah ul Baari: 2/517)*
*=================*
*14-Eid ke din khel khelna aur gaana(jisme music na ho, kufriya baat na ho) jaiz hai:✫*
Eid ke din khushi ke izhaar mein jaaiz khel ka muzahra kare to koi harj nahi. Eid ke din Habsha ke logon ka dhaalon aur Barchon se khelna saabit hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne bhi is khel ko dekha aur un Habshiyon ko mazeed khelne ko kaha. Yeh Hadees *Bukhari Shareef (950)* mein Kitaab ul Eidein ke tehat mazkoor hai.aur *gaana* gana *abu daud 1135* me zikr hai.
*=================*
*15-Eid ki namaz ke baad hi Qurbani karne se Qurbani mani jayegi warna Qurbani nhi mani jayegi*
*Nabi ne farmaya-Aaj eidul azha ke din ki ibtida hm namaz eid se karenge phir wapas aa kr qurbani karenge jo is tarah karega woh hmari sunnat ke mutabik karega lekin jo shaks namaz eid se pehle zabh karega toh is ki hesiyat sirf gost ki hogi jo is ne apne ghr walon ke liye tayyar kr liya hai qurbani woh katan bhi nahi, is pr Abu barada bin nayar razziallahu anhu khadey hue inhone (Namaz eid se pehle hi ) zabh kr liya tha aur arz kiya mere pass ek saal se kam umar ka bakra hai ( kya is ki doobara qurbani ab namaz ke baad lou? )Nabi karim sallahu Allahi wassalam ne farmaya ki iski qurbani kr lo lekin tmharey baad yeh kise aur ke liye kafi nahi hoga matraf ne aam sa bayan kiya aur in se baraye bin Azab razziullahu anha ne ki Nabi karim sallahu allahi wassalam ne farmaya ki jis ne namaz eid ke baad qurbani ki uski qurbani puri hogii aur is ne musalmano ki sunnat ke mutabiq amal kiya*
(Sahih bukhari Hadees Number 5545)
Tags:
ISLAAH-IMAAN