Kya maah e zul-Hijjah ke pehle das dino ko dusre sab ayyaam par fazeelat haasil hai?
*Aur in das dino mein konse aise aamaal e Saleh hain jo kasrat se karna mustahab hain?*
*JAWAB:Ita'at o farmabardari ke mousamon mein se maah e zil-Hijjah ke pehle das din bhi hain jinhein Allah ﷻ ne baqi sab dino par fazeelat di hai :*
*Ibn e abbas razi Allahu anhuma bayan karte hain ke Rasool e Akram ﷺ ne farmaya:"In das dinon mein kiye gaye aamaal e Saleh Allah taala ko sab se ziyada mehboob hain, sahaba ne arz ki Allah taala ke raste mein jihad bhi nahi!! Toh Rasool e Akram ﷺ ne farmaya: Jihad fi Sabeelillah bhi nahi, lekin woh shakhs jo apna maal aur jaan le kar nikle aur kuch bhi wapas na laaye"*
(Sahih Bukhari: 2/457)
*Aur ek dusri hadees mein hai Ibn e Abbas razi Allah anhuma bayan karte hain Rasool e Akram ﷺ ne farmaya:"Ashra e Zil-hijjah mein kiye gaye amal se ziyada pakeeza aur zyada ajr waala amal koi nahi, Aap ﷺ se kaha gaya ke na hi Allah taala ke raste mein jihad karna? Toh Rasool e Akram ﷺ farmaya: Aur na hi Allah taala ke raste mein jihad karna"*
{Sunan Darmi (1/357) is ki sanad hasan hai. Dekhen: (Irwa ul Ghaleel: 3/398)}
*Upar diye gaye aur is ke alawah doosri dalaail is par dalalat karte hain ke zul-hijjah ke pehle das din baqi saal ke sab dino se behtar aur afzal hain aur is mein kisi bhi qism ka koi istisna nahi yahan tak ke ramadaan ul mubarak ka aakhri ashra bhi nahi, lekin ramadaan ul mubarak ke aakhri ashra ki das raatein in dino se behtar aur afzal hain kyun ke un mein lailatul-qadr shaamil hai, aur lailatul qadar ek hazaar maheenon se afzal hai, to is tarah sab dalail mein jama hota hai.*
(Dekhen: Tafseer Ibn e kaseer: 5/412)
-----------
*Lehaza musalman shakhs ko chahiye ke woh in das dinon ki ibtida Allah ﷻ ke samne sacchi aur pakki tauba ke sath kare aur phir umoomi taur par kasrat se aamaal e Saleha kare.
Tags:
ISLAAH-IMAAN