kmiainfo: ALLAH KE BAARE MEIN BADGUMAANI ALLAH KE BAARE MEIN BADGUMAANI

ALLAH KE BAARE MEIN BADGUMAANI

ALLAH KE BAARE MEIN BADGUMAANI  بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ​  • Bohat se "Musalmaan" usi ghalati mein gir padhe hain jo Iblees ne Allaah ke saath kee thi, jab us ne ye samajh liya tha ke Allaah ne usey dhoka diya hai.  قَالَ رَبِّ بِمَا أَغْوَيْتَنِي لَأُزَيِّنَنَّ لَهُمْ فِي الْأَرْضِ وَلَأُغْوِيَنَّهُمْ أَجْمَعِينَ​  *"(Shaytaan ne) kaha: Aye mere Rabb ! Choonke toone mujhe gumraah kiya hai, main bhi zaroor zameen mein unke liye gunaahon ko muzayyan (khoobsoorat) karunga aur un sab ko gumraah bhi* karunga." [15:39]  • Lihaaza, Allaah ke baare mein Badgumaaniyaan mat karo aur Us par Shak na karo, kyunke aisa karna Shaytaan ke Naqsh e Qadam par chalna hai, jiska nateejah Jahannam hai.  • Ye gumaan na karo ke Allaah tumhaare saath koi buraayi karna chaahta hai. Kyunke Famaan e ILaahi hai:  وَتَظُنُّونَ بِاللَّهِ الظُّنُونَا ​ *"Aur tum Allaah ke baare mein tarah tarah ke gumaan karne lagey." [33:10]*  • Allaah ke behtareen Naamon aur Sifaat par ghaur karte hue sirf Achche Gumaan kiya karo. Farmaan e ILaahi hai:  وَلِلَّهِ الْأَسْمَاءُ الْحُسْنَىٰ فَادْعُوهُ بِهَا ۖ وَذَرُوا الَّذِينَ يُلْحِدُونَ فِي أَسْمَائِهِ ۚ سَيُجْزَوْنَ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ ​ *"Aur Achche Achche Naam Allaah hi ke liye hain so un Naamon se hi Allaah ko pukaaro aur aisey logon se ta'lluq bhi na rakho jo Us ke Naamon mein ghalat raastah ikhtiyaar karte hain un logon ko unke kiye ki zaroor saza milegi." [7:180]*  • Hadees e Qudsi hai ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya, Farmaan e ILaahi hai:  أَنَا عِنْدَ ظَنِّ عَبْدِي بِي ، وَأَنَا مَعَهُ إِذَا ذَكَرَنِي ، فَإِنْ ذَكَرَنِي فِي نَفْسِهِ ذَكَرْتُهُ فِي نَفْسِي ، وَإِنْ ذَكَرَنِي فِي مَلَإٍ ذَكَرْتُهُ فِي مَلَإٍ خَيْرٍ مِنْهُمْ ، وَإِنْ تَقَرَّبَ إِلَيَّ بِشِبْرٍ تَقَرَّبْتُ إِلَيْهِ ذِرَاعًا ، وَإِنْ تَقَرَّبَ إِلَيَّ ذِرَاعًا تَقَرَّبْتُ إِلَيْهِ بَاعًا ، وَإِنْ أَتَانِي يَمْشِي أَتَيْتُهُ هَرْوَلَةً​  *"Main apne Bandey ke gumaan ke saath hoon aur jab woh Mujhe apne dil mein yaad karta hai toh Main bhi usey apne Dil mein yaad karta hoon aur jab woh Mujhe majlis mein yaad karta hai toh Main usey us se behtar Farishton ki majlis mein usey yaad karta hoon aur agar woh Mujh se ek baalisht qareeb aata hai toh Main us se ek haath qareeb hojaata hoon aur agar woh Mujh se ek haath qareeb aata hai toh Main us se do haath qareeb hojaata hoon aur agar woh Meri taraf chal kar aata hai toh Main uske paas daurd kar aajaata hoon."*  [Saheeh Bukhaari: 7405]    Sheikh Suleiman Anwar Hafizahullah  《 Mutarjim: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah 》 (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )​



بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ​

• Bohat se "Musalmaan" usi ghalati mein gir padhe hain jo Iblees ne Allaah ke saath kee thi, jab us ne ye samajh liya tha ke Allaah ne usey dhoka diya hai.

قَالَ رَبِّ بِمَا أَغْوَيْتَنِي لَأُزَيِّنَنَّ لَهُمْ فِي الْأَرْضِ وَلَأُغْوِيَنَّهُمْ أَجْمَعِينَ​

*"(Shaytaan ne) kaha: Aye mere Rabb ! Choonke toone mujhe gumraah kiya hai, main bhi zaroor zameen mein unke liye gunaahon ko muzayyan (khoobsoorat) karunga aur un sab ko gumraah bhi* karunga." [15:39]

• Lihaaza, Allaah ke baare mein Badgumaaniyaan mat karo aur Us par Shak na karo, kyunke aisa karna Shaytaan ke Naqsh e Qadam par chalna hai, jiska nateejah Jahannam hai.

• Ye gumaan na karo ke Allaah tumhaare saath koi buraayi karna chaahta hai. Kyunke Famaan e ILaahi hai:

وَتَظُنُّونَ بِاللَّهِ الظُّنُونَا
*"Aur tum Allaah ke baare mein tarah tarah ke gumaan karne lagey." [33:10]*

• Allaah ke behtareen Naamon aur Sifaat par ghaur karte hue sirf Achche Gumaan kiya karo. Farmaan e ILaahi hai:

وَلِلَّهِ الْأَسْمَاءُ الْحُسْنَىٰ فَادْعُوهُ بِهَا ۖ وَذَرُوا الَّذِينَ يُلْحِدُونَ فِي أَسْمَائِهِ ۚ سَيُجْزَوْنَ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ
*"Aur Achche Achche Naam Allaah hi ke liye hain so un Naamon se hi Allaah ko pukaaro aur aisey logon se ta'lluq bhi na rakho jo Us ke Naamon mein ghalat raastah ikhtiyaar karte hain un logon ko unke kiye ki zaroor saza milegi." [7:180]*

• Hadees e Qudsi hai ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya, Farmaan e ILaahi hai:

أَنَا عِنْدَ ظَنِّ عَبْدِي بِي ، وَأَنَا مَعَهُ إِذَا ذَكَرَنِي ، فَإِنْ ذَكَرَنِي فِي نَفْسِهِ ذَكَرْتُهُ فِي نَفْسِي ، وَإِنْ ذَكَرَنِي فِي مَلَإٍ ذَكَرْتُهُ فِي مَلَإٍ خَيْرٍ مِنْهُمْ ، وَإِنْ تَقَرَّبَ إِلَيَّ بِشِبْرٍ تَقَرَّبْتُ إِلَيْهِ ذِرَاعًا ، وَإِنْ تَقَرَّبَ إِلَيَّ ذِرَاعًا تَقَرَّبْتُ إِلَيْهِ بَاعًا ، وَإِنْ أَتَانِي يَمْشِي أَتَيْتُهُ هَرْوَلَةً​

*"Main apne Bandey ke gumaan ke saath hoon aur jab woh Mujhe apne dil mein yaad karta hai toh Main bhi usey apne Dil mein yaad karta hoon aur jab woh Mujhe majlis mein yaad karta hai toh Main usey us se behtar Farishton ki majlis mein usey yaad karta hoon aur agar woh Mujh se ek baalisht qareeb aata hai toh Main us se ek haath qareeb hojaata hoon aur agar woh Mujh se ek haath qareeb aata hai toh Main us se do haath qareeb hojaata hoon aur agar woh Meri taraf chal kar aata hai toh Main uske paas daurd kar aajaata hoon."*
 [Saheeh Bukhaari: 7405]



Sheikh Suleiman Anwar Hafizahullah

《 Mutarjim: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )​

Post a Comment

Previous Post Next Post