بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَالَّذِي نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ لاَ يَسْمَعُ بِي أَحَدٌ مِنْ هَذِهِ الأُمَّةِ يَهُودِيٌّ وَلاَ نَصْرَانِيٌّ ثُمَّ يَمُوتُ وَلَمْ يُؤْمِنْ بِالَّذِي أُرْسِلْتُ بِهِ إِلاَّ كَانَ مِنْ أَصْحَابِ النَّارِ
*• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:"Qasam hai Us (Zaat) ki jiske Haath mein Muhammad (ﷺ) ki jaan hai is zamaane ka (ya'ni mere waqt aur mere ba’d Qiyaamat tak) koi Yahoodi ya Nasraani (ya aur koi bhi) Mere baare mein suney phir Eemaan na laaye uspar jisko Main dekar bheja gaya hoon. Toh Jahannam mein jaayega."*
(Saheeh Muslim, Kitaabul-Eemaan, Hadees: 386 or 153)
• Islaam ke Paighaam ko achche andaaz aur wazaahat ke saath pohnchaana zaroori hai na ke aage waala samjhe tak samjhaana chaahiye.
قال: لا يسمع، وما قال: "ما يفهم"، فإذا سمع الخبر وبلغه خبر رسول الله صلى الله عليه وسلم وبلغه القرآن؛ كفى
*• Shaykh Bin Baaz oopar mazkoorah Hadees ko zikr karne ke ba'd kehte hain:Allaah ke Rasool (ﷺ) ne farmaaya: "Suney" ye nahin farmaaya ke "Samjhey", pas jab woh Khabar suney aur uske paas Rasool Allaah (ﷺ) ki khabar pohnche aur Qur'aan ki khabar pohnche, Kaafi hai.*
(Fataawaa Al-Duroos)
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
هَذَا بَلَاغٌ لِلنَّاسِ وَ لِیُنۡذَرُوۡا بِهٖ وَ لِیَعۡلَمُوۡۤا اَنَّمَا هُوَ اِلٰهٌ وَّاحِدٌ وَّ لِیَذَّکَّرَ اُولُوا الۡاَلۡبَابِ
*• Irshaad e Baaree (تعالى) hai:"Ye (Qur'aan) tamaam Insaanon ke liye ek paighaam hai taake unhen iske zariye khabardaar kiya jaaye, aur taake woh jaanlein ke Ma'bood e Barhaqq (Sachcha Ma'bood) bus ek hi hai, aur taake samajh rakhne waale Naseehat haasil karlein."*
(Soorah No. 14, Ibraaheem, Aayah: 52)
• Ma'loom hua ke Qur'aan Allaah ki taraf se ek paighaam hai aur paighaam ko pohnchaaya jaata hai na ke aage waala samajhne tak samjhaaya jaata hai. Is mawzoo par Qur'aan e Majeed ke bohat se aayaat dalaalat karte hain jisko humne pehle hi nashar kar diya hai. Jaanne ke liye neeche dee gayi link ko padhiye.
[ Link: ALLAAH KE DEEN KI DA'WAT DENE KE TA'LLUQ SE EK SHUB'HE KA JAWAAB ]
يَا أَيُّهَا الرَّسُولُ بَلِّغْ مَا أُنزِلَ إِلَيْكَ مِن رَّبِّكَ ۖ وَإِن لَّمْ تَفْعَلْ فَمَا بَلَّغْتَ رِسَالَتَهُ ۚ وَاللَّهُ يَعْصِمُكَ مِنَ النَّاسِ ۗ إِنَّ اللَّهَ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الْكَافِرِينَ
*• Allaah (تعالى) ne Rasool (ﷺ) ko farmaaya:"Aye Rasool (ﷺ) jo kuch bhi Aapki taraf Aapke Rabb ki jaanib se naazil kiya gaya hai pohnchaa deejiye. Agar Aapne aisa na kiya toh Aapne Allaah ki Risaalat adaa nahin kee (ya'ni Allaah ka paighaam logon tak nahin pohnchaaya) aur Aapko Allaah (تعالى) logon se bachaalega, Beshak Allaah (تعالى) Kaafiron ko Hidaayat nahin deta."*
(Soorah No. 7, Al-A'raaf, Aayah: 67)
• Is aayat se hamen saaf pata chal raha hai ke Rasool Allaah (ﷺ) ko Allaah ne Hukm diya ke Aap Mera paighaam logon tak pohnchaaye, na ke samajh mein aaye tak samjhaayein aur Rasool (ﷺ) ne waise hi kiya.
اللَّهُمَّ هَلْ بَلَّغْتُ، قَالُوا: نَعَمْ، ثَلَاثَ مَرَّاتٍ، قَالَ: اللَّهُمَّ اشْهَدْ، ثَلَاثَ مَرَّاتٍ
*• Rasool Allaah (ﷺ) ka pehla aur Aakhri Hajj jisey Hajjatul-Wadaa' kaha jaata hai us mein Aap (ﷺ) ka mash'hoor khutabh jis mein ghaaliban ek laakh (1 lakh) se zyaadah log maujood the, un tamaam logon ke saamne Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:"Aye Allaah kya maine pohncha diya ?" Logon ne teen baar kaha: Haan (Aapne pohncha diya). Rasool Allaah (ﷺ) ne (bhi) teen baar farmaaya: "Aye Allaah tu gawaah reh, Aye Allaah tu gawaah reh, Aye Allaah tu gawaah reh."*
(Sunan Abu Daawood, Hadees: 3334, Zubayr Ali Zai ne Isey Hasan qaraar diya hai)
☆ WAZAAHAT: Ya'ni mukallaf shakhs ke liye Ilm ka haasil karna mumkin hai, woh shakhs aise ilaaqe mein rehta ho jahaan Musalmaan zyaadah rehte hain aur jahaalat ko aasaani se door kiya jaa sakta hai toh Allaah ki hujjat aise shakhs par tamaam hochuki hai agarche woh jaan boojh kar ma'loom karne ki koshish bhi na karey toh bhi uspar Hujjat qaayem hochuki hai kyunke woh Tamakkun e ilm hone ke baawajood eraaz kar raha hai. Ya'ni uske liye ilm ka haasil karna mumkin hai uske baawajood eraaz kar raha hai.
• Ya'ni jisko da'wat dee jaarahi hai uske liye ye shart nahin hai ke usko maloom hone ke ba'd hi uspar Allaah ki hujjat qaayem hogi kyunke woh Tamakkun e Ilm (ilm ka haasil karna uske liye mumkin) hai.
• Kyunke Kuffaar ne Qur'aan ko sunne se aur us par ghaur wa fikr karne se parheyz kiya, us se roogardaani kee, us se munh pheyr liya, us se kinaarah kashi kee. Toh ye cheez Allaah ki hujjat qaayem hone ke liye rukaawat nahin hai kyunke Tamakkun e ilm ke saath Allaah ki hujjat qaayem ho jaati hai.
☆ Hamaara kaam yahi hai ke behtareen andaaz mein saaf aur wazaahat ke saath hum Deen ka paighaam logon tak pohnchaaye jab hum aisa karenge toh hum par jo zimmahdaari thi pohnchaane ki usko poora karliya, Ab ek Aqlmand shakhs ki zimmahdaari hai ke jab woh Qur'aan ke baare mein suney Ya Rasool (ﷺ) ke baare mein suney toh usey chaahiye ke tehqeeq karey aur jo Fitrat e Tawheed par usko paida kiya gaya hai uski taraf laut aaye jaisa ke Allaah (تعالى) ne Soorah Ibraaheem mein apne paighaam ke baare mein zikr karne ke ba'd farmaaya: "Aur taake samajh rakhne waale Naseehat haasil karlein."
• Jab paighaam us tak pohanch jaayega toh ek Mukallaaf shakhs ki zimmahdaari ye hai ke woh uske baare mein jaanne ki koshish karey, tehqeeq karey kyunke Allaah ne usey Aql dee hai taake woh Allaah ke aayaat wa nishaaniyon par ghaur wa fikr karey aur usko jisne paida kiya hai Us Rabb ki Ma'rifat haasil karey aur Kaamyaab hojaaye.
وما عليّ إلا البلاغ، ولله الحمد والمنة و أعلم
《 Muharrir: Abd Al Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
_________
Tags:
ISLAAH-IMAAN