kmiainfo: IMAAN PAR KHAATIMEY KI AHMIYAT IMAAN PAR KHAATIMEY KI AHMIYAT

IMAAN PAR KHAATIMEY KI AHMIYAT

AMAL EEMAAN SE JUDA NAHI BALKE EEMAAN MEIN DAAKHIL HAI​  *1. Nadr Bin Shumayl رحمه الله (d. 204AH) se irja ke baarey mein poocha gaya tou unho ne jawaab diya:*  *"Yeh ek Deen hai jo Baadshahon ke khwaahishon ki razamandi mein hai jis se Murji'ah Baadshah ki kuch dunya (ya'ni Daulat wa Shohrat) haasil karte hain aur unke kuch Deen ko (dunya ke faaedey ki khaatir) khodetey hain."*  [Al-Bidāyah Wan-Nihāyah]   *2. Fudayl Ibn ‘Iyād رحمه الله (d. 187AH) ne kaha:"Allaah ta'aalā farmaata hai: "Allaah ne tumhare liye wahi Deen muqarrar kardiya hai jis ke qaayam karne ka usne Nooh (عليه السلام) ko hukm diya tha, aur jo (Vahee ke zariye) hum ne teri taraf bhejdi hai, aur jis ka taakīdi Hukm hum ne Ibraahīm aur Mūsā aur Eesā (عليهم السلام) ko diya tha ke Deen qaayam rakhna aur usme phoot (ikhtelaaf) na daalna.."* [Ash-Shoorā:13]  Tou (maloom hua ke) Deen, AMAL SE (Eemān ka) Iqraar Karne ka naam hai jis tarah Allaah ne bayaan kiya aur jis tarah usne Anbiyā aur Rasoolon ko Deen qaayam karne ka Hukm diya.  (AAYAT MEIN) 'phoot (ikhtelaaf) na daalne' se MURAAD AMAL KO TARK KARDENA HAI AUR QAUL WA AMAL MEIN FARQ KARNA HAI.  *Allaah ta'aalā ne kaha: "..Aur agar woh tawbah karlein, aur Namaaz qaayam karein, aur zakaat adaa Karein tab woh tumhare Deeni bhai hain."* [At-Tawbah: 11]  Pas Allaah ne Shirk se TAWBAH KARNE KE SILSILEY MEIN QAUL WA AMAL KA HONA - Namaaz qaayam karne aur zakaat adaa karne ke zariye - ZAROORI QARAAR DIYA HAI.  Ahle Raaye (yahaan muraad baatil raaye waale hai) kehte hain: 'Namaaz Eemaan mein daakhil nahi hai aur na hi Zakaat aur NA HI koi aur Waajibaat (daakhil hai).'  Aisa kehne se woh log Allaah par jhoot baandh rahey hai aur uski kitaab (Qur'ān) ki aur uske Nabi ki sunnat (Ahaadîth) ki mukhalifat kar rahey hain. Jo unho ne kaha agar woh sach hota tou phir Abū Bakr (رضي الله عنه) Murtaddeen se (zakaat na deney par) ladaayi na karte."  [As-Sunnah – ‘Abdullāh Bin Imām Ahmad]



بسم الله الرحمن الرحيم​

Insaan jab tak zinda hai usko hamesha yahi fikr honi chaahiye ke uska Aqeedah sahi hai ya nahi? Kya woh har qism ke Shirk aur Kufr se mehfooz hai ya nahi? Kyunke maut ka koi bharosa nahi woh kabhi bhi aasakti hai. Jab maut ka waqt aajata hai tou phir usko koi taal nahi sakta.

Allaah Ta'aalā ka farmaan hai:
*"Aur jab kisi ka muqarrarah waqt aajata hai phir usey Allaah Ta'aalā hargiz mohlat nahi deta. Aur jo kuch tum karte ho Allaah Ta'aalā usse khoob baakhabar hai."*
 [Sūrah Al-Munaafiqūn : 11]
.
Isiliye insaan ko har waqt maut ka saamna karne ke liye Saheeh Aqeedey ke saath tayyaar rehna zaroori hai.

Jis tarah sahi bunyaad ke baghair imaarat qaayam nahi hosakti usi tarah Tawhīd ke baghair Eemaan qaayam nahi hosakta. Tawheed ki Islaam mein woh haisiyat hai jaise insaan ke jism mein Sar ki. Isliye zaroori hai ke SHIRK se bachne ke liye Tawhīd ko jaana jaaye aur uska ilm haasil kiya jaaye aur yeh har Musalmaan par Farz hai taake woh Tawhīd par chalkar SHIRK se Bach sakey.

Tawheed se muraad yeh hai ke Allaah apni Ruboobiyat, Uloohiyat aur Asma Wa Sifaat aur Af'aal mein akela aur khaas hai.

Hamaari yahi koshish honi chaahiye ke Hum ko marna hai tou sirf is Haal mein ke hum Musalmaan Wa Muwahhid hon,
 jaisa ke Irshaad e Baari Ta'aalā hai:
*"Aye Eemaan waalon! Allaah Ta'aalā se waisa daro jaisa ke usse darney ka Haqq hai aur tum nahi marna siwaaye is haal mein ke (tum) Musalmaan ho."*
[Sūrah Aal e Imraan : 102]

Gunaahon mein sab se bada Gunaah Allaah Ta'aalā ke saath kisi ko Shareek karna hai. Shirk ke alaavah doosre Gunaah Allaah chaahe tou muaaf ho sakte hain lekin SHIRK hargiz nahi.
 Jaisa ke farmaan ilaahi hai:
.*"Allaah Ta'aalā Shirk ko kabhi muaaf nahi karta magar haan Shirk ke siwa doosre gunaahon ko agar woh chaahe tou muaaf kardeta hai.."*
 [Sūrah An-Nisā : 116]
.
Aqeedah sahi ho tou Allaah ke nazdeek saarey neyk A'maal qubool hongey lekin Aqeedah sahi na ho aur Allaah ki ibaadat mein kisi aur ko bhi shareek karte ho tou saarey Neyk A'maal Zaaya wa BARBAAD hojaaengey aur uska thikaana Jahannam hoga. (الله المستعان)
.
Allaah Ta'aalā ne Sūrah Al-An'aam mein 17 Nabiyon ka zikr karte huye kaha ke *agar yeh bhi Allaah ke saath kisi aur ko shareek karte tou hum inke A'MAAL bhi BARBAAD kardetey.*
*Aur SHIRK ki haalat mein Marney waale ke liye Allaah Ta'aalā ne Jannat ko Haraam qaraar diya hai aur woh hamesha Jahannam mein rahega, usse kabhi chhutkaara na hoga. Dekhiye*
[Sūrah Al-Maaidah : 72]
.
Sahīh Aqeedey ke bina Neyk Amaal karna apne aap ko dhokey mein rakhna hai. Allaah Ta'aalā ne farmaaya: "Keh deejiye! Agar (tum kaho tou) main tumhe bataadun ke A'maal ke etebaar se sabse zyaada nuqsaan mein kaun hain?
.
*Woh (aisey log) hain ke jinki Dunyavi zindagi ki tamaamtar koshishein bekaar hogayi aur woh isi gumaan mein rahey ke woh bohat achche kaam kar rahey hain."*
[Sūrah Al-Kahf : 103, 104]
.
*NOTE: Yaad rakhein Shirk ke saath Neyk Amaal ka koi faaedah nahi. Pehle hum Tawheed ko samjhein us par amal karein aur phir Salaah, Zakaat, Hajj, Rozah jaise deegar Faraaid ko anjaam dengey tab hi Qubool hongey warna hargiz Qubool na hongey.*


---------------------


*AMALON KA ETEBAAR KHAATIMEY PAR MAUQOOF HAI.*
.
*1. Rasoolullaah (ﷺ) ne farmaaya:"..Qasam hai us zaat ki jis ke haath mein meri jaan hai ! Tum mein se koi shakhs Jannat waalon ka Amal karraha hota hai yahaan tak ke uske aur Jannat ke darmiyaan ek haath ka faasla reh jaata hai ke us par uski (likhi hui) taqdeer ghaalib aajati hai aur woh Jahannam waalon ka Amal kar baithta hai, aur usme daakhil hojata hai.*
.
*Aur tum mein se koi Jahannam waalon ka Amal karraha hota hai, yahaan tak ke uske aur Jahannam ke darmiyaan ek haath ka faasla reh jaata hai, ke us par likhi hui taqdeer ghaalib aajati hai, aur woh Jannat waalon ka Amal karne lagta hai aur Jannat mein daakhil hojata hai."*
-
[Sunan Ibn Maajah : 76 ; Sahīh Al-Bukhaarī : 3208, 6607 ; Jaami' At-Tirmizee : 2137]
.
*2. Aur Farmaaya: "Har bandey ko usi kaifiyat mein uthaaya jaayega jis par uski maut aayi thi."*
 [Sahīh Muslim : 7232 or 2878]
.
*3. Ek aur Hadees ke aakhir mein Nabi (ﷺ) ne farmaaya: "..A'maal ka etebaar ya daromadaar khaatimey par hai."*
 [Sahīh Al-Bukhaarī : 6607]
.

*4. Ek aur muqaam par farmaaya: "Jo Shakhs is Haal Mein Marjaaye Ke Woh Allaah Ke Siwa doosron Ko Bhi Uska Shareek Tehraata Raha Ho Tou Woh Jahannam Mein Jaayega."*
[Saheeh Al-Bukhaari : 4497]
.
Lihaaza abhi apne Shirk Wa Kufr se Tawbah karein isse pehle ke maut aajaye. Aur Hum ko Allaah Ta'aalā se ACHHEY KHAATIMEY ke liye hamesha Duaa karte rehna chaahiye.
-
اللهم اني اسالك حسن الخاتمه
*"Aye Allaah! Main tujhse achhe khaatimey ka sawaal karta hoon."*
آمين يا المنّان بديع السموات والأرض يا ذا الجلال والاكرام ياحي يا قيوم

*✍Tehreer: « Abu Zaahid Hafizahullah »*

Post a Comment

Previous Post Next Post