kmiainfo: AMAL EEMAAN SE JUDA NAHI BALKE EEMAAN MEIN DAAKHIL HAI​ AMAL EEMAAN SE JUDA NAHI BALKE EEMAAN MEIN DAAKHIL HAI​

AMAL EEMAAN SE JUDA NAHI BALKE EEMAAN MEIN DAAKHIL HAI​

AMAL EEMAAN SE JUDA NAHI BALKE EEMAAN MEIN DAAKHIL HAI​  *1. Nadr Bin Shumayl رحمه الله (d. 204AH) se irja ke baarey mein poocha gaya tou unho ne jawaab diya:*  *"Yeh ek Deen hai jo Baadshahon ke khwaahishon ki razamandi mein hai jis se Murji'ah Baadshah ki kuch dunya (ya'ni Daulat wa Shohrat) haasil karte hain aur unke kuch Deen ko (dunya ke faaedey ki khaatir) khodetey hain."*  [Al-Bidāyah Wan-Nihāyah]   *2. Fudayl Ibn ‘Iyād رحمه الله (d. 187AH) ne kaha:"Allaah ta'aalā farmaata hai: "Allaah ne tumhare liye wahi Deen muqarrar kardiya hai jis ke qaayam karne ka usne Nooh (عليه السلام) ko hukm diya tha, aur jo (Vahee ke zariye) hum ne teri taraf bhejdi hai, aur jis ka taakīdi Hukm hum ne Ibraahīm aur Mūsā aur Eesā (عليهم السلام) ko diya tha ke Deen qaayam rakhna aur usme phoot (ikhtelaaf) na daalna.."* [Ash-Shoorā:13]  Tou (maloom hua ke) Deen, AMAL SE (Eemān ka) Iqraar Karne ka naam hai jis tarah Allaah ne bayaan kiya aur jis tarah usne Anbiyā aur Rasoolon ko Deen qaayam karne ka Hukm diya.  (AAYAT MEIN) 'phoot (ikhtelaaf) na daalne' se MURAAD AMAL KO TARK KARDENA HAI AUR QAUL WA AMAL MEIN FARQ KARNA HAI.  *Allaah ta'aalā ne kaha: "..Aur agar woh tawbah karlein, aur Namaaz qaayam karein, aur zakaat adaa Karein tab woh tumhare Deeni bhai hain."* [At-Tawbah: 11]  Pas Allaah ne Shirk se TAWBAH KARNE KE SILSILEY MEIN QAUL WA AMAL KA HONA - Namaaz qaayam karne aur zakaat adaa karne ke zariye - ZAROORI QARAAR DIYA HAI.  Ahle Raaye (yahaan muraad baatil raaye waale hai) kehte hain: 'Namaaz Eemaan mein daakhil nahi hai aur na hi Zakaat aur NA HI koi aur Waajibaat (daakhil hai).'  Aisa kehne se woh log Allaah par jhoot baandh rahey hai aur uski kitaab (Qur'ān) ki aur uske Nabi ki sunnat (Ahaadîth) ki mukhalifat kar rahey hain. Jo unho ne kaha agar woh sach hota tou phir Abū Bakr (رضي الله عنه) Murtaddeen se (zakaat na deney par) ladaayi na karte."  [As-Sunnah – ‘Abdullāh Bin Imām Ahmad]


*1. Nadr Bin Shumayl رحمه الله (d. 204AH) se irja ke baarey mein poocha gaya tou unho ne jawaab diya:*

*"Yeh ek Deen hai jo Baadshahon ke khwaahishon ki razamandi mein hai jis se Murji'ah Baadshah ki kuch dunya (ya'ni Daulat wa Shohrat) haasil karte hain aur unke kuch Deen ko (dunya ke faaedey ki khaatir) khodetey hain."*

[Al-Bidāyah Wan-Nihāyah]


*2. Fudayl Ibn ‘Iyād رحمه الله (d. 187AH) ne kaha:"Allaah ta'aalā farmaata hai: "Allaah ne tumhare liye wahi Deen muqarrar kardiya hai jis ke qaayam karne ka usne Nooh (عليه السلام) ko hukm diya tha, aur jo (Vahee ke zariye) hum ne teri taraf bhejdi hai, aur jis ka taakīdi Hukm hum ne Ibraahīm aur Mūsā aur Eesā (عليهم السلام) ko diya tha ke Deen qaayam rakhna aur usme phoot (ikhtelaaf) na daalna.."*
[Ash-Shoorā:13]

Tou (maloom hua ke) Deen, AMAL SE (Eemān ka) Iqraar Karne ka naam hai jis tarah Allaah ne bayaan kiya aur jis tarah usne Anbiyā aur Rasoolon ko Deen qaayam karne ka Hukm diya.

(AAYAT MEIN) 'phoot (ikhtelaaf) na daalne' se MURAAD AMAL KO TARK KARDENA HAI AUR QAUL WA AMAL MEIN FARQ KARNA HAI.

*Allaah ta'aalā ne kaha: "..Aur agar woh tawbah karlein, aur Namaaz qaayam karein, aur zakaat adaa Karein tab woh tumhare Deeni bhai hain."* [At-Tawbah: 11]

Pas Allaah ne Shirk se TAWBAH KARNE KE SILSILEY MEIN QAUL WA AMAL KA HONA - Namaaz qaayam karne aur zakaat adaa karne ke zariye - ZAROORI QARAAR DIYA HAI.

Ahle Raaye (yahaan muraad baatil raaye waale hai) kehte hain: 'Namaaz Eemaan mein daakhil nahi hai aur na hi Zakaat aur NA HI koi aur Waajibaat (daakhil hai).'

Aisa kehne se woh log Allaah par jhoot baandh rahey hai aur uski kitaab (Qur'ān) ki aur uske Nabi ki sunnat (Ahaadîth) ki mukhalifat kar rahey hain. Jo unho ne kaha agar woh sach hota tou phir Abū Bakr (رضي الله عنه) Murtaddeen se (zakaat na deney par) ladaayi na karte."

[As-Sunnah – ‘Abdullāh Bin Imām Ahmad]

Post a Comment

Previous Post Next Post