kmiainfo: Muharram ul Haraam Me Aashoora(10 muharram) ka Roza Muharram ul Haraam Me Aashoora(10 muharram) ka Roza

Muharram ul Haraam Me Aashoora(10 muharram) ka Roza

Muharram ul Haraam Me Aashoora(10 muharram) ka Roza

(10 Muharram Ke Sath, 9 Muharram ka Roza Bhi Rakhna)



1-Hazrat Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain ki Aashoora ke din zamana e jahiliyyat mein Quraish roza rakha karte the aur RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam bhi rakhte they. Phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Madina tashreef laaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne yahan bhi Aashoora ke din roza rakha aur uska logon ko bhi hukm diya. Lekin Ramadhan ki farziyyat ke baad Aap ne Aashoora ke din roza rakhna chor diya aur farmaya ki ab jiska dil chahe is din roza rakhe aur jiska dil chahe na rakhe.
(Sahih Bukhari Hadees Number- 2002,Sunan Abu Daud Hadees Number 2444, Sunan Ibne Maja Hadees Number 1737)



2-IBNE ABBAS  Raziallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam jab madina mein tashreef laye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne yahudiyo ko dekha ki wo AASHURA ke din (10 Muharram) ka roza rakhte hai" Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne unse iska sabab pucha.

To(yahudiyo) ne kaha ki ye ek achcha din hai is din Allah ne bani israeel ko unke dushman ( firaun) se nijat dilwayee thi isliye Musa Alaihi salam ne us din ka roza rakha tha.

 To Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musa Alaihi salam par tumse zyada haq hamara hai, " phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne bhi us din roza rakha aur Sahaba Radi allahu anhuma ko bhi iska hukm diya
(Sahih Bukhari Hadees Number 2004,Sunan Ibne Maja Hadees Number-1734 )



3- Das Muharram  ke roze ke sath 9 Moharram ka roza rakhna Hai Jaisa Hadees Me Aaya hai :-*

"Abdullah bin Abbas Radhiallahu Taala Anhuma bayan karte hain:Jis waqt Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aashoora ke din roza rakha aur uske rozay ka hukm farmaya to Sahaba ne kaha aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Is din to Yahood aur Nasara ta’zeem karte hain to Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab agla saal aayega to hum 9 tareekh ka bhi roza rakhenge. Rawi ne kaha ki abhi agla saal nahi aaya tha ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam wafat paa gaye.*
(Sahih Muslim hadees  2666 -Islam 360, 1134)



4-Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne dasven (10th) Muharram ka roza rakha hai, Aap ne is rozay ka bada ajr zikr farmaya hai:"Aur Aashoora(10 Muharram) ke din ka roza, main Allah se ummed rakhta hun ki pichle saal ke gunaaho ka kaffara ban jayega."
(Sahih Muslim Hadees Number 1162, 2747-Islam 360, Sunan Ibne Maja Hadees Number 1738,Sunan Trimizi Hadees Number -752)



5-Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma bayan karte hain: Main ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko siwaye Aashoora ke din ke aur is Ramadhan ke maheeney ke aur kisi din ko doosre dino se afzal jaan kar khaas taur se qasd (irada) kar ke roza rakhte nahi dekha.
(Sahih Bukhari Hadees 
Number- 2006)

Post a Comment

Previous Post Next Post