kmiainfo: WUZU KI AHMIYAT AUR FAZEELAT, WUZU KA TAREEQA AUR WAZOO KE BAAD KE AZKAAR, WUZU KE MUTALLIQ DEEGAR(OTHER) MASAIL WUZU KI AHMIYAT AUR FAZEELAT, WUZU KA TAREEQA AUR WAZOO KE BAAD KE AZKAAR, WUZU KE MUTALLIQ DEEGAR(OTHER) MASAIL

WUZU KI AHMIYAT AUR FAZEELAT, WUZU KA TAREEQA AUR WAZOO KE BAAD KE AZKAAR, WUZU KE MUTALLIQ DEEGAR(OTHER) MASAIL

WUZU KI AHMIYAT AUR FAZEELAT, WUZU KA TAREEQA AUR WAZOO KE BAAD KE AZKAAR, WUZU KE MUTALLIQ DEEGAR(OTHER) MASAIL  Wuzu ki ahmiyat  *"Aey imaan waalo! jab tum namaaz ke liye utho to apne mu ko aur apne haatho ko kohniyo samet dhulo, apne saro ka masah karo, aur apne paao ko takhno samet dhulo. "* (Surah Maydah : 6)  *Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya"Wazu salah(namaz) ki kunji hai, Salah ki shuruat takbeer se hai aur uska akheer salam hai"* (Sahih ibn Majah, 222)  ------  *Wazoo ki Fazeelat*  *Wazoo zahiri taharat wa safai ke alawa androon aur baatin ki safaai aur paakizgi ka zariya bhi hai.*  *Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :"jis waqt momin wazoo shuru karta hai phir kulli karta hai to uske muh ke gunah nikal jate hai phir jis waqt naak jhadta hai to uske naak ke gunah nikal jate hai( isi tarah jo jo aage badhte jata hai uske hath, pair aur sar ke gunah nikal jate hain) phir jab wo namaz ada karta hai aur zikr o tasbeeh se farigh hokar nikalta hai to gunaho se us tarah(paak hokar) laut ta hai jaise wo us din (paak) tha jab uski maa ne usko paida kiya tha.* (Sahih Muslim, 244)  *Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :"Kya main tumhe wo cheez na batau ke jiske sabab Allah Ta’ala gunaho ko door aur darjaat ko buland karta hai?Sahaaba ne arz kiya: Ai Allah ke Rasool sallallaho alaihi wasallam irshad farmaiye.Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :" Mushaqqato ke bawajood kamil wazu karna, masjido ki taraf ziyaadah(qadmo se) jana aur salah(namaz) ka intezar karna gunaho ko bilkul dho deta hai. "* (Sahih Muslim, 251)  *Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se sawal kiya gaya ke aap(mahshar me) dusri umamto ke darmiyan apni ummat ko kaise pahchanegeto Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :" Meri ummat ke log wazoo ke asar se Roshan(safed) chehre aur safed hath paao wale honge iss tarah unke siwa aur koi nahi hoga. "* (Sahih Muslim, 247,248)  *Abu Hurairah Radiallahu anhu se riwayat hai ke main ne apne dost Muhammad sallallaho alaihi wasallam ko ye farmate hue suna:-(Jannat mein) Momin ka zewar waha tak phahuchega jahaan tak wazu ka pani phahuchega.* (Muslim, 250) WUZU KA TAREEQA Aur Wazoo ke Baad ke Azkaar  Wuzoo karne wala wuzoo ki dil me niyat kare, na ke zaban se, isliye ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se wuzoo, namaz ya kisi aur ibadat ke liye zaban se niyat karne ka suboot nahi milta, aur isliye ke Allah Ta'ala dil ki baato ko janta hai, lehaza usey mazeed khabar dene ki zarurat nahi, niyat karna farz hai.  *1.Sabse pahle wuzoo ke liye dil me niyat kare Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :"Tamam aamaal ka daromadar niyat par hai."* (Sahih Bukhari, 01) (Sahih Muslim, 1907)  *2.Fir Bismillah padhe kyunki Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka irshaad hai :" jo shaks wuzoo ke waqt Allah ka naam nahi leta uska wuzoo nahi hota. "* (Abu Dawood, 101) (Ibn Majah, 399) (Ahmad 30/41) (Hakim, 1/147)  *3.Fir apni hatheliyo ko teen baar dhoye.* (Bukhari, 1910) (Muslim, 235)  *4.Phir teen dafa kulli kare aur naak me pani dale.* (Sahih Bukhari(191) Sahih Muslim (235)  *Note✒ :Wazeh rahe ke kulli karne aur naak pe pani dalne ka jo Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se tareeqa sabit hai wo ek hi chullu se kulli bhi ki jaye aur naak me pani bhi dala jaye.Halaki Usman Radiallahu anhu se aur Ali Radiallahu anhu se kulli aur naak ke liye alag alag pani lena bhi sabit hai.Lehaza Behtar ye hai ki ek hi pani se kulli bhi ki jaaye aur naak me pani bhi dala jaye lekin agar koi alag kulli aur alag naak me pani dalta hai to bhi jayez hai.* (Tareekh Al kabeer, ibn khuzaima, 1910)  *5.Phir teen martabah chehre ko dhoye, chaudaai me kaan se lekar (dusre) kaan tak aur lambaai me baalo ke ugne ki jagah se dadhi ke nichle hisse tak.* (Sahih Muslim, 235)  *6.Iske baad dono hatho ko ungliyo ke sire se lekar kohiniyo tak teen teen baar dhoye, Pahle sidhe haath ko phir ulte haath ko.* (Sahih Bukhari, 185) (Sahih Muslim, 235)  *7.Phir apne sar ka masah ek baar kare, haatho ko tar karke sar ke agle hisse se masah shuroo kare aur sar ke pichle hisse (guddi) tak le jaye fir isi tarah pichhe se aage ki taraf le aaye.* (Sahih Bukhari, 185) (Sahih Muslim, 235)  *8.Phir kaano ka masah bhi ek martabah kare, shahadat ki ungli se kaan ke andurooni hisse ka masah kare aur anguthe se kaan ke baheri hisse ka.* (Ibn Majah, 439) (Tirmizi, 361)  *Note✒ :Kaano ke maseh ke liye alag se pani lena hadees se sabit nahi hai* *Gardan ka masah karna kisi bhi sahi hadees se sabit nahi hai.* (Majmu'ulfatawa 21/127)  *Imam Nawvi Rahimahullah ne Gardan ke Masah ko Bidd'at kaha hai.* (Al majmu 1/489)   *9.Aur phir akhir me dono pairo ko teen teen baar dhoye, ungliyo ke sire se takhno tak. Pahle sidhe pair ko phir ulte pair ko.* (Sahih Bukhari, 1934) (Sahih Muslim, 236)  ---------  *Wuzoo ke baad ke azkaar*  *1-Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :Tumme se koi shaks wuzoo kare aur kamil wuzoo kare phir kahe*  *أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ ‏"‏* ‏​  *"Mai gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi mabud barhaq nahi, wo akele hai uska koi shareek nahi aur mai gawahi deta hu Mohammad sallallaho alaihi wasallam uske bande aur uske Rasool hai.* (Sahih Muslim, 234)   *2-Abu Sayeed Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :Jo shaks wuzoo ke baad kahe*  سُبْحـانَكَ اللّهُـمَّ وَبِحَمدِك أَشْهَـدُ أَنْ لا إِلهَ إِلاّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتوبُ​  *"Aey Allah tu paak hai aur teri hi tareef hai, mai gawahi deta hu ke tere siwa koi mabud nahi, mai tujhse maghfirat chahta hu aur teri taraf ruju karta hu."* *To ye kalimaat kagaz pe likh kar uspe muhar laga diya jata hai to qiyamat tak nahi toda jata.* (Nasai, 9909) (Sahiuttargheeb, 218)  WUZU KE MUTALLIQ DEEGAR(other) MASAIL ​ *1.Badan ke wuzu wale hisse ko ek ek baar ya do do baar dhona bhi durust hai.* (Bukhari 157-158)  *2.Teen se zyada baar dhona gunah hai, Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka farman hai"Jisne teen se zyada baar dhoya usne galat kiya, ziyaadti kee aur zulm kiya. "* (ibn Majah, 422) (Nasai, 2/3180)  *3.Agar koi pahle se bawuzu ho to salah ke liye dobara wuzu karna zaruri nahi, Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya" Wuzu sirf be wuzu hone ki surat me hi (lazim) hai. "* (Tirmizi, 422) (Nasai,1/188) (Ahmed 2/3180)  *Lekin har Namaz ke liye taza wuzu mustahab hai,Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki" Ham ek hi wuzu se kai namaz adaa kar lete the jabki Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam har namaz ke liye wuzu karte the. "* (Sahih Muslim, 227)  *Yaad rahe wuzu par wuzu karne ki fazeelat se Mutalliq koi sahi rivayat maujood nahi hai.*  *4.Wuzu se pahle miswak karna mustahab hai.Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka irshaad hai" Agar mujhe meri ummat ki mushaqqat wa takleef ka andesha na hota to mai har namaz ke sath miswak karne ka hukm(wajoobi taur par) deta.* (Sahih Bukhari, 887) (Sahih Muslim, 1252)  *Huzaifa Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab tahajjud ke liye uthte to miswak se apna muh saaf farmate.* (Sahih Bukhari, 245) (Sahih Muslim, 255)  *Aap sallallaho alaihi wasallam ka farman hai."Miswak muh ki safai ka zariya aur parwardigar ki Razamandi ka sabab hai. "* (Bukhari Mu'allaqan) (Ahmed 6/47) (Sahee Nasai, 5)  *5.Wuzu me tarteeb(serial wise/silsilewar) waajib hai, Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne ek dehati se farmaya :" Us tarah wuzu karo jaisa Allah Ta'ala ne tumhe wuzu karne ka hukm diya hai. "* (Abu a'vana 1/253) (Baihaqi,1/83)  *Yani ke wuzu tarteeb(serial wise/silsilewar) me hi karna hai, jaise ke pahle hatho ko dhona hai to hatho ko hi dhoya jayega, naaki pahle kulli ki jayegi, yani ke ulta wuzu karne se wuzu nahi hoga.*  *6.Wuzu me tarteeb ki tarah muwaalaat(wuzu wale body parts ko ek ke bad ek dhona) bhi wajib hai.Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki" Ek admi ne wuzu kiya to uske paao par nakhun ke barabar jagah khushk rah gayi.Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne usey dekha to farmaya :Wapas jaao aur achhi tarah wuzu karo, chunache wo wapas gaya aur (dobara) wuzu karne ke baad namaz adaa ki. "* (Sahih Muslim 243) (Ibn Majah, 666)  *Isse ye bhi malum hua ke wuzu wale hisso me se agar koi hisse me agar nakhun ke barabar bhi hissa khushk rah jaaye to wuzu nahi hoga.*  *7.Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se poore sar ka masah karna hi sabit hai,sar ke kuch hisse ka masah karna sabit nahi,haa agar sar par a'mamah(pagdi) ho to sar ke agle hisse ka masah karke a'mamah(pagdi) par masah mukammal kiya ja sakta hai.* *Mughira bin Shoba Radiallahu anhu se rivayat hai"Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne wuzu kiya aur peshani aur a'mamah(pagdi) par masah kiya."* (Sahih Muslim, 274)  *8.Isi tarah Amr Bin Uamayya Azzamri Radiallahu anhu farmate hai:Maine Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ko dekha Aap sallallaho alaihi wasallam apni pagdi aur apne mozo pe masah kiya karte the."* (Bukhari, 205)  *9.Mustaurid Bin Shaddad Radiallahu anhu bayan karte hai"Maine Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ko dekha Aap sallallaho alaihi wasallam apni paao ki ungliyo ka khilal haath ki choti ungli se kar rahe the.* (Abu Dawud, 148) (Tirmizi, 40)  *10.Isi tarah Dadhi ka khilal karna bhi sunnat hai.Usman Radiallahu anhu se rivayat ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne wuzu kiya aur apni dadhi me khilal kiya."* (Tirmizi 31) ( ibn Majah, 430)


Wuzu ki ahmiyat

*"Aey imaan waalo! jab tum namaaz ke liye utho to apne mu ko aur apne haatho ko kohniyo samet dhulo, apne saro ka masah karo, aur apne paao ko takhno samet dhulo. "*
(Surah Maydah : 6)

*Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya"Wazu salah(namaz) ki kunji hai, Salah ki shuruat takbeer se hai aur uska akheer salam hai"*
(Sahih ibn Majah, 222)

------

*Wazoo ki Fazeelat*

*Wazoo zahiri taharat wa safai ke alawa androon aur baatin ki safaai aur paakizgi ka zariya bhi hai.*

*Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :"jis waqt momin wazoo shuru karta hai phir kulli karta hai to uske muh ke gunah nikal jate hai phir jis waqt naak jhadta hai to uske naak ke gunah nikal jate hai( isi tarah jo jo aage badhte jata hai uske hath, pair aur sar ke gunah nikal jate hain) phir jab wo namaz ada karta hai aur zikr o tasbeeh se farigh hokar nikalta hai to gunaho se us tarah(paak hokar) laut ta hai jaise wo us din (paak) tha jab uski maa ne usko paida kiya tha.*
(Sahih Muslim, 244)

*Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :"Kya main tumhe wo cheez na batau ke jiske sabab Allah Ta’ala gunaho ko door aur darjaat ko buland karta hai?Sahaaba ne arz kiya: Ai Allah ke Rasool sallallaho alaihi wasallam irshad farmaiye.Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :" Mushaqqato ke bawajood kamil wazu karna, masjido ki taraf ziyaadah(qadmo se) jana aur salah(namaz) ka intezar karna gunaho ko bilkul dho deta hai. "*
(Sahih Muslim, 251)

*Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se sawal kiya gaya ke aap(mahshar me) dusri umamto ke darmiyan apni ummat ko kaise pahchanegeto Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :" Meri ummat ke log wazoo ke asar se Roshan(safed) chehre aur safed hath paao wale honge iss tarah unke siwa aur koi nahi hoga. "*
(Sahih Muslim, 247,248)

*Abu Hurairah Radiallahu anhu se riwayat hai ke main ne apne dost Muhammad sallallaho alaihi wasallam ko ye farmate hue suna:-(Jannat mein) Momin ka zewar waha tak phahuchega jahaan tak wazu ka pani phahuchega.*
(Muslim, 250)

Wuzu ka Tareeka Aur Wazoo ke Baad ke Azkaar-

Wuzoo karne wala wuzoo ki dil me niyat kare, na ke zaban se, isliye ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se wuzoo, namaz ya kisi aur ibadat ke liye zaban se niyat karne ka suboot nahi milta, aur isliye ke Allah Ta'ala dil ki baato ko janta hai, lehaza usey mazeed khabar dene ki zarurat nahi, niyat karna farz hai.

*1.Sabse pahle wuzoo ke liye dil me niyat kare Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :"Tamam aamaal ka daromadar niyat par hai."*
(Sahih Bukhari, 01) (Sahih Muslim, 1907)

*2.Fir Bismillah padhe kyunki Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka irshaad hai :" jo shaks wuzoo ke waqt Allah ka naam nahi leta uska wuzoo nahi hota. "*
(Abu Dawood, 101) (Ibn Majah, 399) (Ahmad 30/41) (Hakim, 1/147)

*3.Fir apni hatheliyo ko teen baar dhoye.*
(Bukhari, 1910) (Muslim, 235)

*4.Phir teen dafa kulli kare aur naak me pani dale.*
(Sahih Bukhari(191) Sahih Muslim (235)

*Note✒ :Wazeh rahe ke kulli karne aur naak pe pani dalne ka jo Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se tareeqa sabit hai wo ek hi chullu se kulli bhi ki jaye aur naak me pani bhi dala jaye.Halaki Usman Radiallahu anhu se aur Ali Radiallahu anhu se kulli aur naak ke liye alag alag pani lena bhi sabit hai.Lehaza Behtar ye hai ki ek hi pani se kulli bhi ki jaaye aur naak me pani bhi dala jaye lekin agar koi alag kulli aur alag naak me pani dalta hai to bhi jayez hai.*
(Tareekh Al kabeer, ibn khuzaima, 1910)

*5.Phir teen martabah chehre ko dhoye, chaudaai me kaan se lekar (dusre) kaan tak aur lambaai me baalo ke ugne ki jagah se dadhi ke nichle hisse tak.*
(Sahih Muslim, 235)

*6.Iske baad dono hatho ko ungliyo ke sire se lekar kohiniyo tak teen teen baar dhoye, Pahle sidhe haath ko phir ulte haath ko.*
(Sahih Bukhari, 185) (Sahih Muslim, 235)

*7.Phir apne sar ka masah ek baar kare, haatho ko tar karke sar ke agle hisse se masah shuroo kare aur sar ke pichle hisse (guddi) tak le jaye fir isi tarah pichhe se aage ki taraf le aaye.*
(Sahih Bukhari, 185) (Sahih Muslim, 235)

*8.Phir kaano ka masah bhi ek martabah kare, shahadat ki ungli se kaan ke andurooni hisse ka masah kare aur anguthe se kaan ke baheri hisse ka.*
(Ibn Majah, 439) (Tirmizi, 361)

*Note✒ :Kaano ke maseh ke liye alag se pani lena hadees se sabit nahi hai*
*Gardan ka masah karna kisi bhi sahi hadees se sabit nahi hai.*
(Majmu'ulfatawa 21/127)

*Imam Nawvi Rahimahullah ne Gardan ke Masah ko Bidd'at kaha hai.*
(Al majmu 1/489)


*9.Aur phir akhir me dono pairo ko teen teen baar dhoye, ungliyo ke sire se takhno tak. Pahle sidhe pair ko phir ulte pair ko.*
(Sahih Bukhari, 1934) (Sahih Muslim, 236)

---------

*Wuzoo ke baad ke azkaar*

*1-Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :Tumme se koi shaks wuzoo kare aur kamil wuzoo kare phir kahe*

*أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ ‏"‏* ‏​

*"Mai gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi mabud barhaq nahi, wo akele hai uska koi shareek nahi aur mai gawahi deta hu Mohammad sallallaho alaihi wasallam uske bande aur uske Rasool hai.*
(Sahih Muslim, 234)


*2-Abu Sayeed Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :Jo shaks wuzoo ke baad kahe*

سُبْحـانَكَ اللّهُـمَّ وَبِحَمدِك أَشْهَـدُ أَنْ لا إِلهَ إِلاّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتوبُ​

*"Aey Allah tu paak hai aur teri hi tareef hai, mai gawahi deta hu ke tere siwa koi mabud nahi, mai tujhse maghfirat chahta hu aur teri taraf ruju karta hu."*
*To ye kalimaat kagaz pe likh kar uspe muhar laga diya jata hai to qiyamat tak nahi toda jata.*
(Nasai, 9909) (Sahiuttargheeb, 218)

WUZU KE MUTALLIQ DEEGAR (other) MASAIL
*1.Badan ke wuzu wale hisse ko ek ek baar ya do do baar dhona bhi durust hai.*
(Bukhari 157-158)

*2.Teen se zyada baar dhona gunah hai, Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka farman hai"Jisne teen se zyada baar dhoya usne galat kiya, ziyaadti kee aur zulm kiya. "*
(ibn Majah, 422)
(Nasai, 2/3180)

*3.Agar koi pahle se bawuzu ho to salah ke liye dobara wuzu karna zaruri nahi, Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya" Wuzu sirf be wuzu hone ki surat me hi (lazim) hai. "*
(Tirmizi, 422) (Nasai,1/188) (Ahmed 2/3180)

*Lekin har Namaz ke liye taza wuzu mustahab hai,Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki" Ham ek hi wuzu se kai namaz adaa kar lete the jabki Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam har namaz ke liye wuzu karte the. "*
(Sahih Muslim, 227)

*Yaad rahe wuzu par wuzu karne ki fazeelat se Mutalliq koi sahi rivayat maujood nahi hai.*

*4.Wuzu se pahle miswak karna mustahab hai.Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka irshaad hai" Agar mujhe meri ummat ki mushaqqat wa takleef ka andesha na hota to mai har namaz ke sath miswak karne ka hukm(wajoobi taur par) deta.*
(Sahih Bukhari, 887) (Sahih Muslim, 1252)

*Huzaifa Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab tahajjud ke liye uthte to miswak se apna muh saaf farmate.*
(Sahih Bukhari, 245) (Sahih Muslim, 255)

*Aap sallallaho alaihi wasallam ka farman hai."Miswak muh ki safai ka zariya aur parwardigar ki Razamandi ka sabab hai. "*
(Bukhari Mu'allaqan) (Ahmed 6/47) (Sahee Nasai, 5)

*5.Wuzu me tarteeb(serial wise/silsilewar) waajib hai, Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne ek dehati se farmaya :" Us tarah wuzu karo jaisa Allah Ta'ala ne tumhe wuzu karne ka hukm diya hai. "*
(Abu a'vana 1/253) (Baihaqi,1/83)

*Yani ke wuzu tarteeb(serial wise/silsilewar) me hi karna hai, jaise ke pahle hatho ko dhona hai to hatho ko hi dhoya jayega, naaki pahle kulli ki jayegi, yani ke ulta wuzu karne se wuzu nahi hoga.*

*6.Wuzu me tarteeb ki tarah muwaalaat(wuzu wale body parts ko ek ke bad ek dhona) bhi wajib hai.Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki" Ek admi ne wuzu kiya to uske paao par nakhun ke barabar jagah khushk rah gayi.Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne usey dekha to farmaya :Wapas jaao aur achhi tarah wuzu karo, chunache wo wapas gaya aur (dobara) wuzu karne ke baad namaz adaa ki. "*
(Sahih Muslim 243) (Ibn Majah, 666)

*Isse ye bhi malum hua ke wuzu wale hisso me se agar koi hisse me agar nakhun ke barabar bhi hissa khushk rah jaaye to wuzu nahi hoga.*

*7.Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se poore sar ka masah karna hi sabit hai,sar ke kuch hisse ka masah karna sabit nahi,haa agar sar par a'mamah(pagdi) ho to sar ke agle hisse ka masah karke a'mamah(pagdi) par masah mukammal kiya ja sakta hai.*
*Mughira bin Shoba Radiallahu anhu se rivayat hai"Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne wuzu kiya aur peshani aur a'mamah(pagdi) par masah kiya."*
(Sahih Muslim, 274)

*8.Isi tarah Amr Bin Uamayya Azzamri Radiallahu anhu farmate hai:Maine Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ko dekha Aap sallallaho alaihi wasallam apni pagdi aur apne mozo pe masah kiya karte the."*
(Bukhari, 205)

*9.Mustaurid Bin Shaddad Radiallahu anhu bayan karte hai"Maine Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ko dekha Aap sallallaho alaihi wasallam apni paao ki ungliyo ka khilal haath ki choti ungli se kar rahe the.*
(Abu Dawud, 148) (Tirmizi, 40)

*10.Isi tarah Dadhi ka khilal karna bhi sunnat hai.Usman Radiallahu anhu se rivayat ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne wuzu kiya aur apni dadhi me khilal kiya."*
(Tirmizi 31) ( ibn Majah, 430)

Post a Comment

Previous Post Next Post