KUFFAAR KO RAAZI KARNA
بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
*✍️Sheikh Suleiman Anwar Hafizahullah*
《 Mutarjim: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah 》
*GUMRAAHI KE MU'AAMLAAT*
*• Woh "Musalmaan" jo Kaafiron ko raazi karne ke liye Islaam ko tord marord aur badal kar peysh karte hain woh kamazkam Do wajuhaat ki bina par Murtadd hain:*
*1) Kaafiron ko apna Dost aur Awliyaa (madadgaar) banaakar. Farmaan e ILaahi hai:*
وَمَن يَتَوَلَّهُم مِّنكُمْ فَإِنَّهُ مِنْهُمْ
*"Tum mein se jo bhi un (Kuffaar) se tawalli (dosti waghairah) karega woh unhi mein se hoga."*
[5:51]
*2) Allaah ke baare mein Jhoot eejaad (invent) karne ki bina par. Farmaan e ILaahi hai:*
إِنَّمَا يَفْتَرِي الْكَذِبَ الَّذِينَ لَا يُؤْمِنُونَ بِآيَاتِ اللَّهِ ۖ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْكَاذِبُونَ
*"Jhoot Ifteraa toh wohi baandhte hain jinhein Allaah (تعالى) ki Aayaton par Eemaan nahin hota. Yahi log jhoote hain."*
[16:105]
*KUFR KE MASAAYEL*
• Tumhaara da'waa (claim) hai ke tum Musalmaan ho, tumhaara ye da'waa aisa waazeh jhoot hai jiska inkaar nahin kiya jaa sakta is liye ke tumne Kuffaar aur unke Awliyaa (Madadgaaron) ko apna Awliyaa, Dost aur Muhaafiz banaa liya hai, kyunke Farmaan e ILaahi hai:
وَالَّذِينَ كَفَرُوا بَعْضُهُمْ أَوْلِيَاءُ بَعْضٍ
*"Aur jinhone Kufr kiya woh aapas mein ek doosre ke Awliyaa (Dost, Madadgaar) hain."*
[8:73]
• Tumhaare Jhoot ki tasdeeq mandarjah zeyl aayat hai:
وَلَوۡ كَانُوا۟ یُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلنَّبِیِّ وَمَاۤ أُنزِلَ إِلَیۡهِ مَا ٱتَّخَذُوهُمۡ أَوۡلِیَاۤءَ
*"Agar inhein Allaah (تعالى) par aur Nabi par aur jo naazil kiya gaya hai us par Eemaan hota toh ye Kuffaar ko Awliyaa (Dost, Madadgaar waghairah) na banaate."*
[5:81]
Tags:
ISLAAH-IMAAN