kmiainfo: IJMAA , IJTIHAAD AUR ASAAR-E-SALAF SALIHEEN IJMAA , IJTIHAAD AUR ASAAR-E-SALAF SALIHEEN

IJMAA , IJTIHAAD AUR ASAAR-E-SALAF SALIHEEN

IJMAA , IJTIHAAD AUR ASAAR-E-SALAF SALIHEEN  *Tahreer: Muhaddis Hind o Paak Imam-ul-Asr Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah(AL-HADIS shumaarah No.77, page:50)​*  *Roman Script : Abu Umaimah Owais​*  Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:  *(1)​* *Molana Muhammed Husain Bataalwi rahimahullah ne farmaaya:"Is meyaar ke dosre darje par jahan Sahih Hadis-e-Nabawe nah paayi jaati ho, dosra meyaar-e-salafiyyah Aasaar-e-Sahabah, Kibaar Tabayeen-e-Abraar aur Muhaddiseen-e-Akhbaar hain, jis mas'ala eteqaadiyah o amalaiyah mein sareeh Sunnat-e-Nabawi ka ilm nah ho, is mas'ala mein Ahl-e-Hadis ka mutamasska Aasaar-e-Salafiyyah hote hain aur wahi mazhab Ahl-e-Hadis kahlata hai, jis ko maton o shurooh kutb-e-hadis o fiqah waghairah mein Ahl-e-Hadis se mansob kya gya hai, aur jis qaul ka qaayil bajuz ahl-e-bidat Mutazilah waghairah ya falaasafah ya mutakallimeen koi malom nho, aur salaf saliheen Sahabah o Tabayeen aur in ke itibaa Muhaddiseen se kisi ek shakhs se bhi woh qaul marwi o manqol na ho, woh mazhab Ahl-e-Hadis na hoga."* (Taareekh Ahl-e-Hadis:1/157, Az Qalam: Dr. Muhammed Baha-ud-Deen)   *(2)​* *"Ahl-e-Hadis woh hai jo apna dastor-ul-amal o istidlaal, Ahadis-e-Sahihah aur Aasaar-e-Salafiyyah ko banawe aur jab is ke nazdeek saabit o muhaqqiq hojaye ke in ke muqabile mein koi muarz masaawi yaa is se qawi nahi payaa jataa woh Ahadis o Aasaar par amal karne ko mustayed hojaye aur us amal se uske kisi imam yaa mujtahid ka qaul bilaa dalil maane nah ho."* (Taareekh-e-Ahle Hadis:1/151)   *(3)​* *Molana Syed Nazeer Husain Muhaddis Dahlawi rahimahullah ne farmaaya:"Haan hum ijmaa o qiyaas koi see tarha maante hain jis tarha ayimah mujtahideen maante the."* (Aazaad Ki Kahani Khud Aazaad Ki Zabaani, page:64)   *(4)​* *Molana Muhammed Ismaayeel Salafi rahimahullah ne farmaaya:"Ayimah Sunnat ke nazdeek bunyaadi usool chaar hain. Tamaam deeni masaayil mein unki taraf rujo kya jata hai. Quran o Sunnat, Ijmaa-e-Ummat aur Qiyaas. In mein bhi Asl Quran aur Sunnat hai.Ijmaa aur Qiyaas ka maakhaz bhi Quran aur Sunnat hai kitaab o Sunnat ke khilaaf na Ijmaa hosakta hai aur na Qiyaas.Quran aur Sunnat dono ki hifaazat ka zimmah ALLAH TA'ALA ne lya hai."* (Meyaar-ul-Haqq ka pesh lafz SZ, dosra nuskha Ba-Tahqeeq Molana Muhammed Yahya Gondalwi rahimahullah, page:12)


*Tahreer: Muhaddis Hind o Paak Imam-ul-Asr Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah(AL-HADIS shumaarah No.77, page:50)​*

*Roman Script : Abu Umaimah Owais​*

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

*(1)​*
*Molana Muhammed Husain Bataalwi rahimahullah ne farmaaya:"Is meyaar ke dosre darje par jahan Sahih Hadis-e-Nabawe nah paayi jaati ho, dosra meyaar-e-salafiyyah Aasaar-e-Sahabah, Kibaar Tabayeen-e-Abraar aur Muhaddiseen-e-Akhbaar hain, jis mas'ala eteqaadiyah o amalaiyah mein sareeh Sunnat-e-Nabawi ka ilm nah ho, is mas'ala mein Ahl-e-Hadis ka mutamasska Aasaar-e-Salafiyyah hote hain aur wahi mazhab Ahl-e-Hadis kahlata hai, jis ko maton o shurooh kutb-e-hadis o fiqah waghairah mein Ahl-e-Hadis se mansob kya gya hai, aur jis qaul ka qaayil bajuz ahl-e-bidat Mutazilah waghairah ya falaasafah ya mutakallimeen koi malom nho, aur salaf saliheen Sahabah o Tabayeen aur in ke itibaa Muhaddiseen se kisi ek shakhs se bhi woh qaul marwi o manqol na ho, woh mazhab Ahl-e-Hadis na hoga."*
(Taareekh Ahl-e-Hadis:1/157, Az Qalam: Dr. Muhammed Baha-ud-Deen)


*(2)​*
*"Ahl-e-Hadis woh hai jo apna dastor-ul-amal o istidlaal, Ahadis-e-Sahihah aur Aasaar-e-Salafiyyah ko banawe aur jab is ke nazdeek saabit o muhaqqiq hojaye ke in ke muqabile mein koi muarz masaawi yaa is se qawi nahi payaa jataa woh Ahadis o Aasaar par amal karne ko mustayed hojaye aur us amal se uske kisi imam yaa mujtahid ka qaul bilaa dalil maane nah ho."*
(Taareekh-e-Ahle Hadis:1/151)


*(3)​*
*Molana Syed Nazeer Husain Muhaddis Dahlawi rahimahullah ne farmaaya:"Haan hum ijmaa o qiyaas koi see tarha maante hain jis tarha ayimah mujtahideen maante the."*
(Aazaad Ki Kahani Khud Aazaad Ki Zabaani, page:64)


*(4)​*
*Molana Muhammed Ismaayeel Salafi rahimahullah ne farmaaya:"Ayimah Sunnat ke nazdeek bunyaadi usool chaar hain. Tamaam deeni masaayil mein unki taraf rujo kya jata hai. Quran o Sunnat, Ijmaa-e-Ummat aur Qiyaas. In mein bhi Asl Quran aur Sunnat hai.Ijmaa aur Qiyaas ka maakhaz bhi Quran aur Sunnat hai kitaab o Sunnat ke khilaaf na Ijmaa hosakta hai aur na Qiyaas.Quran aur Sunnat dono ki hifaazat ka zimmah ALLAH TA'ALA ne lya hai."*
(Meyaar-ul-Haqq ka pesh lafz SZ, dosra nuskha Ba-Tahqeeq Molana Muhammed Yahya Gondalwi rahimahullah, page:12)

Post a Comment

Previous Post Next Post