Yazeed Ki Hukumat Se Panah Mangte The Abu hurairah Raziallahu Anhu
*Note :- Jis Inshan Yazeed Se Sahabi e Rasool Panah Mange Usse Muhabbat Karna Mere Fitrat Me Nahi Hai*
*Sahih Hadees :- Nabi ﷺ Ne Farmaya : Meri Ummat Ki Tabahi Quraish Ke Chand Larko Ke Hath Se Hogi.. Marwan Ne Ispar Kaha Unpar Allah Ki Lanat Ho Abu hurairah RadhiAllahu Anhu Ne Kaha Agar Mai Unke Khandan Samet UnKe Naam Batana Chahu To Unki Nishan Dahi Kar Sakta hoo*
Sahi Bukhari Hadees No 7058 [scan link https://drive.google.com/file/d/1YdPFIIRU4qH60zbjqglmbTS_psXmb0KN/view?usp=drivesdk]
*Sahih Hadees :- Abu hurairah RadhiAllahu Anhu Madina Ke Bazar Me Sham Ki Aur Wo Kahte Rahte The Ai Allah Mujhe Na Pa Sake Sathwa (60wa) Saal (logo) Tumhare Upar Afsos Hain Tum Log Moavia (Ra) Ki Kanpattiyo Se Pakar Ko Rok Lo Allah Mujhko Na Pa Sake Bacho Ki Imarart Wa Hukumat*
Arbi Me (دلائل النبوہ للبیہقی:466/6) [scan link https://drive.google.com/file/d/1Yb34bJ1ChGBZq4sr7y2FcfjbBYrwUwFB/view?usp=drivesdk]
Urdu Me Dalail Un Nabuwa Lil Bayhaqi Ra Jild 3 Safa No 296 Baab No 187 [scan link https://drive.google.com/file/d/1YcVRgKe7oMdF15dSfzr17rF3yCbaRQee/view?usp=drivesdk]
Note :- *Upar Darz Ki Gayee Hadees Aur Bhi Kayee Hadees Nakal Karne Ke Baad*
*Imam Ibne Hazar Asqalani Ra (Wafat 852 Hijri ) Farmate Hai In Londo Me Pahla Yazeed Bin Moavia Hain Hazrat Abu hurairah RadhiAllahu Anhu Ka Londo Ki Hukumat Aur San 60 Hijri Wala Qaull Ispar Dalil Hain*
*الفتح الباری: جلد ١٣, صفحہ ١۰
Fatah’ul Bari jild 13 Safa No 10 Hadees No 7058 Ki Tashree Me [scan link https://drive.google.com/file/d/1YgrpEjUISyNnaewCM5kY9tXl_IlIbXRu/view?usp=drivesdk]
Site (1) post link :- https://mdkafayatullah.wordpress.com/2020/08/29/yazeed-ki-hukumat-se-panah-mangte-the-abu-hurairah-ra/
Site (2) post link :- http://mdkafayatullah1.blogspot.com/2020/08/yazeed-ki-hukumat-se-panah-mangte-abu.html
*Yazeed Bin Moavia Ka Makam Aima e Jarah Wa Tadeel Ke Imamo Ki Nazar Me*
*(1) Imam Ahmad Bin Hunbal Ra (Wafat 241 Hijri) Farmate Hai :-*
قال مهنى بن يحيى: سألت أحمد عن يزيد بن معاوية؟ قال: هو هو الذي فعل بالمدينة ما فعل، قلت: وما فعل؟ قال: نهبها. قلت: فيذكر عنه الحديث؟ قال: لا يذكر عنه الحديث، ولا ينبغي لأحد أن يكتب عنه حديثًا
*Terzuma :- Mahni Bin Yahya Ne Kaha Maine Imam Ahmad Se Yazeed Ke Bare Me Sawal Kiya To Unhone Kaha Ye Wahi Hain Jo Madina Walo Ke Sath Kiya Jo Usne Kiya Maine Puchha Kya Kiya? Unhone Kaha Unhe Loota Maine Puchha Kya Usse Hadees Zikr Ki Ja Sakti Hain? Unhone Kaha Usse Hadees Zikr Na Karo Aur Kisi Ko Bhi Usse Kuchh Likhna Nahi Chahiye*
موسوعة أقوال الأمام احمد ج ٤ ص ١٥٧ ر ٣٥٦٢
Mousate Aqwal e Imam Ahmad Jild 4 Safa No 157 Raqam No 3562 Sanad Sahih
*(2) Imam Ibne Hazar Asqalani Rah. Likhte hai Ye Is Baat Ka Ahal Nahi Ki Ke Isse(Yazeed se) Kuchh Riwayat Kiya Jaye*
*(تقريب التهذيب:7777)*
Taqreeb Ul Tehzeeb Raqam No 7777
*Imam Ibne Hazar Asqalani Ra (Wafat 854 Hijri) Farmate Hain :-*
وَأما الْمحبَّة فِيهِ وَالرَّفْع من شَأْنه فَلَا تقع إِلَّا من مُبْتَدع فَاسد الِاعْتِقَاد فَإِنَّهُ كَانَ فِيهِ من الصِّفَات مَا يَقْتَضِي سلب الْإِيمَان عَمَّن يُحِبهُ لِأَن الْحبّ فِي الله والبغض فِي الله من الْإِيمَان وَالله الْمُسْتَعَان
*Terzuma :- Raha Yazeed Se Muhabbat Ka Mas’ala Aur Uski Shan Barhane Ka Mas’ala To Ye Aisa Shaks Hi Kar Sakta Hain Jo Ke Bidati Ho Aur Fasid Aqide Wala Ho Kyu Ke Yazeed Me Aisi Shifat Thi Jo Is Baat Ka Taqaza Karte Hain Ke Usse Muhabbat Rakhne Wala Ka Emaan Shalb Ho Jaye Kyu Ki Muhabbat Allah Ke Liye Ki Jati Hain Aur Bugz Bhi Allah Ke Liye Rakha Jata Hain*
الإمتاع بالأربعين المتباينة السماع لابن حجر العسقلاني ص ٩٦
Al Imta Bil Arbayeeb By Ibne Hazar Asqalani Ra Safa No 96 [scan link https://drive.google.com/file/d/1ZMKeB79gh5UwLbDi3_0vVDJgWE7m1Q1H/view?usp=drivesdk]
[Scan Link 2 https://al-maktaba.org/book/5719/82#p1]
*(3) Imam Zehbi Rah.Farmate Hai Hain :- Iske Adil Hone Par Tanqeed Ki Gayee Hain Aur Ye Is Baat Ka Ahal Nahi Ke Isse Riwayat Nakal Ki Jaye*
میزان العتدال:9762
Mizan Ul Aitedal Raqam 9762
*Imam Zehbi Ra Farmate Hai Hain :-Yazeed Bin Moavia Nasbi, Bad Zuban, Galeez Sharab Khor Aur Badkar Tha . Usne Apni Hukumat Ka Iftetah (Suroowat) Husain Alaihe Salam Ke Qatal Aur Ikhtetaam Waqya Harrah Se Kiya*
سير أعلام النبلاء:6751
Siyar A’lam Al-Nubala’i Raqam No 6751
*(4) Imam Hafiz Ibne Taymiyyah Ra (Wafat 748 Hijri) Farmate Hai :-*
مَا تَقُولُونَ فِي يَزِيدَ؟ فَقُلْت: لَا نَسُبُّهُ وَلَا نُحِبُّهُ فَإِنَّهُ لَمْ يَكُنْ رَجُلًا صَالِحًا فَنُحِبُّهُ وَنَحْنُ لَا نَسُبُّ أَحَدًا مِنْ الْمُسْلِمِينَ بِعَيْنِهِ. فَقَالَ: أَفَلَا تَلْعَنُونَهُ؟ أَمَا كَانَ ظَالِمًا؟ أَمَا قَتَلَ الْحُسَيْنَ؟ . فَقُلْت لَهُ: نَحْنُ إذَا ذَكَرَ الظَّالِمُونَ كَالْحَجَّاجِ بْنِ يُوسُفَ وَأَمْثَالِهِ: نَقُولُ كَمَا قَالَ اللَّهُ فِي الْقُرْآنِ: أَلَا لَعْنَةُ اللَّهِ عَلَى الظَّالِمِينَ وَلَا نُحِبُّ أَنْ نَلْعَنَ أَحَدًا بِعَيْنِهِ؛ وَقَدْ لَعَنَهُ قَوْمٌ مِنْ الْعُلَمَاءِ؛ وَهَذَا مَذْهَبٌ يَسُوغُ فِيهِ الِاجْتِهَادُ؛ لَكِنَّ ذَلِكَ الْقَوْلَ أَحَبُّ إلَيْنَا وَأَحْسَنُ. وَأَمَّا مَنْ قَتَلَ " الْحُسَيْنَ " أَوْ أَعَانَ عَلَى قَتْلِهِ أَوْ رَضِيَ بِذَلِكَ فَعَلَيْهِ لَعْنَةُ اللَّهِ وَالْمَلَائِكَةِ وَالنَّاسِ أَجْمَعِينَ؛ لَا يَقْبَلُ اللَّهُ مِنْهُ صَرْفًا وَلَا عَدْلًا.
*Terzuma :- Mujhse Puchha Gaya Aap Yazeed Ke Bare Me Kya Kahte Hai? Maine Kaha Na Hum Unse Muhabbat Karte Hai Aur Na Usko Galiya Dete Hai Kyu Ki Wo Koi Achcha Aur Saleh Aadmi Nahi Tha Ke Hum Usse Muhabbat Kare Aur Rahi Baat Lanat Ki To Hum Kisi Musalman Ke Naam Lekar Lanat Nahi Karte Iska Matlab Ye Nahi Ke Hum Usko Achcha Jante Hain Ya Uski Tayeed Karte Hain To Us Shaks Ne Puchha Tum Uspar Lanat Kyu Nahi Karte Kya Wo Zalim Nahi Tha? Kya Usne Husain RadhiAllahu Anhu Ko Qatal Nahi Kiya? To Maine Kaha Usse Jab Hum Kisi Zalim Ka Zikr Karte Hain Us Jaise Ya Hizzaz Bin Yusuf Jaise To Hum Wahi Kahte Hain Jo Allah Ne Quran Me Kaha Hain : Allah Ki Lanat Ho Zalimo Par Aur Hame Achcha Nahi Lagta Ke Kisi Ka Naam Lekar Uspar Lanat Kare Hamare Ulma Ke Ek Giroh Ne Naam Lekar Bhi Yazeed Par Lanat Ki Hain Aur Ye Maslak Ijtehadi Hain Agarche Hame Ye Qaull Pasand Hai Aur Yahi Achcha Aur Ahsan Bhi Hain Magar Jisne Husain RadhiAllahu Anhu Ko Qatal Kiya Ya Unke Qatal Me Madad Ki Ya Unke Qatal Par Razamand (Razi) Hua Uspar Allah Ki Aur Farishto Ki Aur Tamam Inshano Ki Lanat Ho Allah Uska Na Nafil Qubool Kare Aur Na Fardh (Farz)*
مجموع الفتاوی: جلد ٤ صفحہ ٤۸٧
Majmua Al Fatawa Jild 4 Safa No 487 [scan link https://drive.google.com/file/d/1U-QPPGPvhHgNGKmDNdWY1d-9-bboNS8q/view?usp=drivesdk]
*Mazeed Imam Hafiz Ibne Taymiyyah Ra (Wafat 748 Hijri) Farmate Hai :-*
قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ " {الْمَرْءُ مَعَ مَنْ أَحَبَّ} " وَمَنْ آمَنَ بِاَللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ: لَا يَخْتَارُ أَنْ يَكُونَ مَعَ يَزِيدَ وَلَا مَعَ أَمْثَالِهِ مِنْ الْمُلُوكِ؛ الَّذِينَ لَيْسُوا بِعَادِلِينَ.
*Terzuma :- Nabi ﷺ Ne Farmaya Aadmi Unhi Ke Sath Hoga Jinse Use Muhabbat Hogi Lehaza Kon Hain Jo Allah Aur Aur Aakhrat Par Emaan Bhi Rakhta Ho Aur Ye Bhi Chahta Ho Ke Uska Hashr Yazeed Ya Us Jaiso Ke Sath Ho Jo Badshah The Aur Adil Na The*
مجموع الفتاوی: جلد ٤ صفحہ ٤۸٤
Majmua Al Fatawa Jild 4 Safa No 484 [scan link https://drive.google.com/file/d/1TNQb0z9S3WVNM92XoJwnIvEMfWHZCpeO/view?usp=drivesdk]
*Hafiz Imam Ibne Taymiyyah Ra Farmate Hai :-Kyu Ki Yazeed Koi Achcha Aur Saleh Aadmi Nahi Tha Ke Hum Usse Muhabbat Kare*
مجموع الفتاوی: جلد ٤ صفحہ ٤۸٧
Majmua Al Fatawa Jild 4 Safa No 487 [scan link https://drive.google.com/file/d/1U-QPPGPvhHgNGKmDNdWY1d-9-bboNS8q/view?usp=drivesdk]
Site (1) post link :- https://mdkafayatullah.wordpress.com/2020/08/30/ek-bidati-etc-hi-yazeed-se-muhabbat-rakhega-fatwa-by-imam-ibne-hazar-asqalani-ra/
Site (2) post link :- http://mdkafayatullah1.blogspot.com/2020/08/ek-bidati-etc-hi-yazeed-se-muhabbat.html
Tags:
ISLAAH-IMAAN