Sahaba-E-Kiraam Ke Fazail
*Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) Haqeeqi Momin Hain!*
Tehreer: Abu Humzah Abdul Khaliq Siddiqi Hafizahullah
Romanised: Syed Ibraheem Salafi
_____________________
Sahaba E Kiraam ka giroh wo muqaddas giroh hai, jo apni tamaam awsaaf e hamidah mein imteyaazi haisiyat rakhta hai, yehi wajah hai ke in ko kayenaat ka sab se afzal tareen giroh qaraar diya gaya hai, Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ke jis bhi wasf ko dekhen wo apni misl aap hai, koi doosra unka muqaabil nahi hai, chunaanche in ka emaan o yaqeen, taqwa wa wara', isaar o humdardi, zohad wa qanaa'at yeh sab be-misaal thhey, yehi wajha hai ke Allah ﷻ ne inke emaan ki gawahi aur tasdeeq apne kalaam e muqaddas mein utaari hai.
Irshaad E Bari Ta'ala hai:
واعلموا أن فيكم رسول الله لو يطيعكم في كثير من الأمر لعنتم ولكن الله حبب إليكم الإيمان وزينه في قلوبكم وكره إليكم الكفر والفسوق والعصيان أولئك هم الراشدون
فضلا من الله ونعمة والله عليم حكيم
*"Aur jaan rakho ke tumharey darmiyaan Allah ke Rasool hain agar wo aksar kaamon mein tumhara kaha maanten tou tum izaa mein padh jaao, lekin Allah ne tumhen emaan ki muhabbat di hai, aur isey tumharey dilon mein aaraasta kar diya hai, tumharey saamney na-pasand kar diya hai, kufr aur gunaah ko, aur na-farmaani ko, aur yehi log raahe hidayat paaney waaley hain Allah ke fazal aur neymat sey, aur Allah ﷻ jaanney waala aur khoob hikmat waala hai."*
(Surah Al-Hujuraat: 7,8)
Abdur Rahman Sa'di Rahimahullah in aayaat ki tafseer mein raqmtaraaz hain:
*"Yani wo log, jin ke dilon mein Allah ﷻ ne emaan muzayyan kar diya, aur usey unka mehboob bana diya, aur unko kufr, gunaah aur ma'siyat se bezaar kar diya, wahi log raahe hidayat par hain" (yani jin ke uloom wa aamaal durust hogey aur deen e qaweem aur siraat e mustaqeem par kaar band hogey."*
(Tafseer As-Sa'di)
Ghaur farmayen! Allah azeem wa bartar ne bataaya ke hum ne in ke dilon ko emaan se muzayyan kar ke in par apna fazl e azeem farmaya, yeh fazl e azeem is wajah se tha ke yeh Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ka giroh haqeeqi aur sachchay momin thhey, kyunke emaan Rab ﷻ ne in ke dilon mein rakkha tha.
Jis cheez ka iradah Allah meharbaan farma ley wo kaam hoke raha karta hai, Rab ﷻ ne in ke liye emaan ko pasand farmaya, aur is se in ke dilon ko muzayyan kiya hai, tou yaqeenan wo pakkey sachchay momin hain, chunanche
Irshaad E Bari Ta'ala hai:
للفقراء المهاجرين الذين أخرجوا من ديارهم وأموالهم يبتغون فضلا من الله ورضوانا وينصرون الله ورسوله أولئك هم الصادقون
والذين تبوءوا الدار والإيمان من قبلهم يحبون من هاجر إليهم ولا يجدون في صدورهم حاجة مما أوتوا ويؤثرون على أنفسهم ولو كان بهم خصاصة ومن يوق شح نفسه فأولئك هم المفلحون
*"Mohtaaj muhaajiron ke liye jo khaas taur par nikaaley gaye apne gharon se aur mehroom kiye gaye apne maalon sey, aur Allah ka fazl aur raza chahtey hain, aur wo madad kartey hain Allah aur uske Rasool ki, aur yehi log sachchay hain, aur jin logon ne is ghar mein (yani madina) aur emaan mein in se pehle qaraar pakda, aur in se muhabbat kartey hain jinhon ne in ki taraf hijrat ki, aur jo inhen diya gaya hai isey apne dilon mein koi haajat nahi paatey aur wo ikhtiyaar kartey hain apni jaano par khawah inhen tangi ho, jinhon ne apni zaat ko buql se bachaaya tou yehi log falah paaney waaley hain."*
(Surah Al-Hashr: 8,9)
Mazkoorah balaa aayat e kareema zor zor se pukaar rahi hai ke Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum sachchay momin thhey, inke emaan ka maqsad bas Allah ﷻ ki raza tha, ab in logon ko apne nazariye aur aqeedeh par matam karna chahiye aur is nazariye se bach jaana chahiye ke jo kehtey hain ke Sahaba duniya ke momin thhey, agar in ki yeh baat maan li jaye tou yaqeenan Qur'an ko jhutlaana padega, jo ke mumkin nahi, lehaza inka jhoota hona haq hai, jabke Qur'an ka sachcha hona haq, aur Sahaba ka pakka sachcha momin hona haq hai, jaisa ke Qur'an ne waazeh kiya hai:
والذين آمنوا وهاجروا وجاهدوا في سبيل الله والذين آووا ونصروا أولئك هم المؤمنون حقا لهم مغفرة ورزق كريم
*"Aur jo log emaan ley aaye aur unhon ne hijrat ki aur Allah ki raah mein jihaad kiya aur jin logon ne inhen panah di un ki madad ki, wahi log haqeeqi momin hain, un ke liye Allah ki maghfirat aur ba-izzat rozi hai."*
(Surah Al-Anfaal: 74)
Maloom huwa ke yeh aayat bhi Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ke emaan par qata'yi nas hai.
Jaari Hai...... ....
Reference |Kitaab: Shaan E Sahaba Bazabaan E Mustafa ﷺ, Taleef: Abu Humzah Abdul Khaliq Siddiqi Hafizahullah.
-------------------
Tags:
ISLAAH-IMAAN