kmiainfo: Muharram ul Haraam Ke Mahine ki Azmat Muharram ul Haraam Ke Mahine ki Azmat

Muharram ul Haraam Ke Mahine ki Azmat

Muharram ul Haraam Ke Mahine ki Azmat

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari 

*Allah Taala ne shuru hi se chaar (4) maheeno ko hurmat wala qarar diya hai woh hain. Zul-Qa’da, Zul-Hijjah, Muharram aur Rajab. Allah Taala ka farmaan hai:*

إِنَّ عِدَّةَ الشُّهُورِ عِنْدَ اللَّهِ اثْنَا عَشَرَ شَهْرًا فِي كِتَابِ اللَّهِ يَوْمَ خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ مِنْهَا أَرْبَعَةٌ حُرُمٌ ۚ ذَٰلِكَ الدِّينُ الْقَيِّمُ ۚ فَلَا تَظْلِمُوا فِيهِنَّ أَنْفُسَكُمْ ۚ وَقَاتِلُوا الْمُشْرِكِينَ كَافَّةً كَمَا يُقَاتِلُونَكُمْ كَافَّةً ۚ وَاعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ مَعَ الْمُتَّقِين

*Tarjumah: Maheeno ki ginti Allah ke nazdeek kitab ul Allah (Allah ki kitaab) mein baara (12) ki hai, usi din se jab se aasman o zameen ko us ne paida kiya hai un mein se char (4) hurmat o adab ke hain. Yahi durust deen hai, tum in maheeno mein apni janon par zulm na karo aur tum tamam mushrikon se jihad karo jaise ki woh tum sab se ladte hain aur jaan rakho ki Allah Taala muttaqiyon ke saath hai.*
(Surah At-Taubah, Surah No: 9 Ayat No: 36)

*Fi kitaabillah «فِي كِتَابِ اللَّهِ» se murad Lauh e Mehfooz yani taqdeer e ilahi hai. Yani shuru se hi Allah Taala ne baara (12) maheenay muqarrar farmaye hain jin mein chaar (4) hurmat wale hain jin mein qatl o jidaal khaas taur se mana hai. Isi baat ko Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne is tarah farmaya hai:*

الزَّمَانُ قَدِ اسْتَدَارَ كَهَيْئَتِهِ يَوْمَ خَلَقَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ، السَّنَةُ اثْنَا عَشَرَ شَهْرًا، مِنْهَا أَرْبَعَةٌ حُرُمٌ، ثَلاَثَةٌ مُتَوَالِيَاتٌ ذُو الْقَعْدَةِ وَذُو الْحِجَّةِ وَالْمُحَرَّمُ، وَرَجَبُ مُضَرَ الَّذِي بَيْنَ جُمَادَى وَشَعْبَانَ

*Tarjumah: Zamana ghoom phir kar usi haalat par aa gaya jaise us din tha jis din Allah Taala ne aasman aur zameen ko paida kiya tha. Saal baara (12) maheeno ka hota hai, chaar (4) maheenay us mein hurmat waale hain. Teen (3) to pe dar pe (lagaatar, continously). Zu-Qa’da, Zul-Hijjah aur Muharram aur choutha (4th) Rajab e Mudhar jo Jumad al Ukhra aur Sha’baan ke beech mein padta hai.*
(Sahih Bukhari: 3197, 4662 and Sahih Muslim: 1679)

*Zamana usi haalat par aa gaya hai ka matlab, Arab ke mushrikeen maheeno mein jo taqdeem o takheer (aagey peechey) karte they us ka khatma ho gaya.*
(Tafseer Ahsan ul bayan)

*Adab o ehtram ki wajah se is Mahinay ko Muharram kaha jaata hai. Is mein jang o jidaal, fitna aur fasaad, zulm, ladaai jhagda karna khaas taur se mana hai. Is mumani’at (prohibition) ka lihaaz Jahiliyyat ke zamaane se balki kaynaat (universe) ki takhleeq se chala aa raha hai. Yeh maheena hurmat waale maheenay mein sab se afzal hai*

Post a Comment

Previous Post Next Post