kmiainfo: JAMHOORIYAT (DEMOCRACY) KYA HAI ? JAMHOORIYAT (DEMOCRACY) KYA HAI ?

JAMHOORIYAT (DEMOCRACY) KYA HAI ?

JAMHOORIYAT (DEMOCRACY) KYA HAI ?

SOURCE: [Radio program Noor 'Alaa Darb se liya gaya]

《Muharrir: Musalliyaan Masjid-e-Tawheed》​

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ​

*Jamhooriyat Ya democracy ka matlab hai “insaanon ki Hukoomat (rule of the people).”*

Jamhooriyat ek aisa nizaam hai jo islaam ke khilaaf hai, kyun ke yeh insaan ko qaanoon banaane ka ikhtiyaar deti hai ya unki numaaindagi (represent) karne waalon ko (jaisa ke parliament ke members). Choonke aam awaam parliament tak phanch nahi sakti hai tou woh apne MLAs aur MPs ko vote ke zariye chunte hain aur phir woh jaakar parliament mein awaam ki baat ko pesh karte hain aur hisaab se qaanoon banaaya jaata hai,Halaal aur Haraam ka faisla judge karta hai. Isi bunyaad par, jamhooriyat mein qaanoon banaane ka haqq Allaah ke alaavah kisi aur ko diya jaata hai.

Agar zyaada log us banaaye gaye qaanoon se raazi hotey hain tou woh mulk ka qaanoon banjaata hai, chaahe woh aqal ya mazhabi taleem (islaam) ke khilaaf hi kyun na ho.

Yeh saarey nizaam mein qaanoon saazi ne hum jins se shaadi aur sood ki ijaazat waghaira dey rahi hai; yeh saarey ahkaam ne sharee’at-e-islaam ko khatam kardiya hai, aur zinaa, sharaab peeney ki ijaazat dedi hai.

Haqeeqat mein yeh nizaam (jamhooriyat) islaam aur uske maanne waalon ke saath haalat-e-jung mein hai.

Allaah ta'aalaa ne humein kaha apni kitaab (qur-aan) mein ke qaanoon banaane ka ikhtiyaar sirf usi ke liye khaas hai, aur woh qaanoon banaane aur faisla sunaane waalon mein sab se aqalmand hai. Aur Allaah ne badi sakhti se mana’ kiya ke hum us ka Haqq kisi aur ke saath shareek karein.

*1. Allaah ta'aalaa ne farmaaya:*

اِنِ الۡحُکۡمُ اِلَّا لِلّٰہِ ؕ اَمَرَ اَلَّا تَعۡبُدُوۡۤا اِلَّاۤ اِیَّاہُ ؕ ذٰلِکَ الدِّیۡنُ الۡقَیِّمُ وَ لٰکِنَّ اَکۡثَرَ النَّاسِ لَا یَعۡلَمُوۡنَ

*“Hukm (Qaanoon jaari karna) sirf Allaah hi ka haqq hai, us ka hukm hai ke tum sab us ke siwa kisi ki ibaadat na karo, yahi deen durust hai lekin aksar log nahi jaante."*
[Sūrah Yoosuf, Aayat: 40]


*2. Allaah ta'aalaa ne farmaaya:*

اَلَا لَہُ الۡخَلۡقُ وَ الۡاَمۡرُ

*“Khabardaar ! Allaah hi ke liye Khaas hai Khaaliq aur Haakim (Qaanoon Saaz/legislator) hai.”*
[Sūrah Al-A’raaf, Aayat: 54]


*3. Allaah ta'aalaa ne farmaaya:*

اَلَیۡسَ اللّٰہُ بِاَحۡکَمِ الۡحٰکِمِیۡنَ

*"Kya Allaah faisla karne waalon mein sab se achcha nahi hai ?"*
[Sūrah At-Teen, Aayat:8]


*4. Allaah ta'aalaa ne farmaaya:*

وَّ لَا یُشۡرِکُ فِیۡ حُکۡمِہٖۤ اَحَدًا

*"Allaah ta'aalaa apne hukm mein kisi ko shareek nahi karta."*
[Sūrah Al-Kahf, Aayat: 26]


*5. Allaah ta'aalaa ne farmaaya:*

اَفَحُکۡمَ الۡجَاہِلِیَّۃِ یَبۡغُوۡن

*"(Agar yeh Allaah ka qaanoon nahi chaahte tou) kya yeh jaahiliyyat ka faisla chaahte hain...?"*
[Sūrah Al-Maaidah, Aayat: 50]

Allaah ta'aalaa sab cheezon ka khaaliq (banaane waala) hai aur woh jaanta hai ke us ki makhlooq ke liye kya achcha hai. Bila shubah Islaam mein woh sikhaaya jaata hai jo logon ke liye faaedemand hoti hai.

Agar logon ko sharaab peeney aur suwwar ka gosht khaane se manaa kiya gaya tou yeh jismaani aur roohani se unhi ke liye achcha hai.

lekin jamhooriyat (democracy) mein woh cheezon ko halaal kiya jaata hai jis ko islaam mein haraam kiya gaya. isliye isko maanna musalmaanon ke liye jaaez hai.

-------------

*Democracy Ke Ta’lluq Se Kuch Aham Baatein Darj Zeyl Hain :​*

1. Jab baat itaa'at aur farmabardaari ya qaanoon saazi ke muaamley ki aati hai tou is mein koi shak nahi ke jamhooriyat Shirk ke jadeed (modern) shakalon mein se ek hai. Yeh Allaah ki khud mukhtaari (sovereignty) aur qaanoon jaari karne ke haqq ka inkaar karti hai aur insaan ko is (qaanoon banaane) ka haqq deti hai.

*Allaah ta'aalaa ne farmaaya:*

اِنِ الۡحُکۡمُ اِلَّا لِلّٰہِ ؕ اَمَرَ اَلَّا تَعۡبُدُوۡۤا اِلَّاۤ اِیَّاہُ ؕ ذٰلِکَ الدِّیۡنُ الۡقَیِّمُ وَ لٰکِنَّ اَکۡثَرَ النَّاسِ لَا یَعۡلَمُوۡن

*"Hukm sirf allaah hi ka haqq hai, us ka hukm hai ke tum sab us ke siwa kisi ki ibaadat na karo, yahi deen durust hai lekin aksar log nahi jaantey."*
[Sūrah Yoosuf, Aayat: 40]

[Mausooat Al-Adyaan Wal-Mazaahib Al-Muaasirah : 2/1066-67]


*2. Al-Albaani Rehmatullahi Alaihi ne kaha:*

*"Salafi da’wah ke usoolon ka yeh ek eham usool hai ke haakimiyyah (hukoomat karna) sirf Akele hi ke liye hai."*
[Silsilah As-Saheehah, vol-6]


*3. Shaikh Muqbil Al-Hadee Al-Wadi’ee ne kaha :*
*"Jamhooriyat (democracy) kufr hai kyun ke is ka matlab hai ke awaam khud ki taraf se khud qawaaneen banaa kar hukoomat kare.Iska matlab hai ke koi kitaab (ya'ni qur-aan) nahi aur na ahaadees hai aur na islaam hai aur hum jins parasti hai (same gender sex) aur zinaa ki ijaazat hai." (naoozubillaah)*

[Tuhfatul Mujeeb, pg : 303]


*DEMOCRACY: SHIRK AUR KUFR KE NIZAAM HI KA NAAM HAI.​*

Hum Musalmaanon ko yeh Jamhoori, Shirkiyyah aur kufriyyah Nizaam ki zaroorat nahi hai jis mein insaani Qawaneen (man-made laws) se hukoomat hoti hai. Agar Aksariyat voting ke Zariye yeh chaahti ho yeh ke Sharaab, Zinaa, Hum-Jinsparasti Halaal ya jaaez hojaaye tou woh Halaal hojata hai.

Tou yeh Shirk Kaisa Nahi hua ? Balke yeh Shirk-e-Akbar hai kyunke Allaah ne yeh saari cheezon ko Haraam kiya hai. Tou Haraam ko Halaal Karne waala Nizaam Shirkiyyah aur Kufriyyah kaise Nahi hosakta ?

Qawaneen banaana, kisi cheez ko Haraam ya Halaal karna insaanon ko banaane waale Allaah ka kaam hai. Yeh insaanon par nahi hai ke Woh Qawaneen banaaye. Allaah hi Qaanoon banaane Waala hai aur yeh Amal usi ke liye khaas hai, is kaam mein uska koi Shareek nahi. Allaah behtar jaanta hai insaan ke liye kya achha hai aur kya bura. Insaan yeh faisla nahi karsakte hain.

*Allaah Ta'aalā ne (Sūrah At-Tawbah, Aayat:31) mein farmaaya:*

اِتَّخَذُوۡۤا اَحۡبَارَہُمۡ وَ رُہۡبَانَہُمۡ اَرۡبَابًا مِّنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ

*"Unho ne Allaah ko Chhord kar Aalimon aur darweshon ko apna Rabb banaaliya hai..” (jis ko unho ne apni khwaahishon se bina Allaah ke hukm se Halaal ya Haraam kiya ho usme unki farmabardaari Karke unki baat maankar Rabb banaaliya)*

*Shaykh Saalih Ibn 'Uthaymeen ne kaha:"Hum Musalmaan hai; Hamaara apna Deen (islaam, Zindagi Guzaarne ka tareeqah) hai, hamaari apni Fitrat (nature) hai, hamaare apne akhlaaq aur kirdaar hai. Lekin Phir bhi hum Kuffaar (wa Mushrikeen) ke peechey bhaag rahey hain, burey amal (corruption) mein unki pairvi Karne ki wajah se itni koshishein kar rahey hain aur haanp rahey hain."*

Post a Comment

Previous Post Next Post